Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kaghaz ki naw

Translated By: Balraj Komal

Balraj Komal

Balraj Komal

kaghaz ki naw

Balraj Komal

MORE BYBalraj Komal

    raat ko sone se pahle

    mujh se nanhā kah rahā thā chāñd lākhoñ miil kyūñkar duur hai

    kyuuñ chamakte haiñ sitāre do ġhubāre kaalī billī kyā huī

    mere hāthī ko pilāo garm paanī vo kahānī mujh ko niiñd aane lagī

    The Paper Boat

    nisf shab ko āte-jāte bādaloñ ke darmiyāñ

    kuchh hurūf-e-nā-tavāñ

    būñdiyoñ ke ruup meñ kāġhaz ke ik purze pe mere sāmne

    der tak girte rahe

    nazm ke naqsh-e-gurezāñ ne sitam lākhoñ sahe

    an-ginat barsoñ pe phailī chashm-o-dil dāstāñ

    raat ke pichhle-pahar god meñ

    tez-tar hotī huī bārish ke lorī sun ke shāyad so ga.ī

    Sleepy in bed, my little son asked

    Difficult questions

    About the moon and distant stars

    His two balloons and the black cat

    Prescribed a glass of warm water for his ailing elephant.

    I wove a tale for his rambling mind

    In the middle of it he fell fast asleep.

    At midnight

    Some feeble words

    Like raindrops from floating clouds

    Descended on a scrap of paper

    In front of me

    And formed the elusive impression of a poem

    I thought I might create;

    Towards morning, the light drizzle

    Turned into a heavy downpour

    The patter of rain

    Like a weird lullaby

    Soothed me to sleep

    sub.h-dam

    khil uThe chāroñ taraf bachchoñ ke rañgīñ qahqahoñ aur tāliyoñ ke shoḳh phuul

    rāt-bhar tez bārish banā.ī jhiil meñ

    Dagmagātī Doltī

    chal rahī thiiñ chhoTī chhoTī kashtiyāñ

    maiñ ne dekhā in meñ nanhe bhī thī pyārī naav

    nazm naqsh-e-gurezāñ jānā-pahchānā kāġhaz jāne-pahchāne hurūf

    nanhā bolā aaj jo taalī na piiTe bevaqūf

    In the morning

    Bright flowers

    Of gay laughter and shouts of boisterous children

    Blossomed everywhere

    The overnight rain had formed a lake:

    Small paper boats floated across its rippling waves;

    The scrap of paper, the familiar words, the elusive lines,

    I knew them in a glance-

    raat ko sone se pahle

    mujh se nanha kah raha tha chand lakhon mil kyunkar dur hai

    kyun chamakte hain sitare do ghubare kali billi kya hui

    mere hathi ko pilao garm pani wo kahani mujh ko nind aane lagi

    The Paper Boat

    nisf shab ko aate-jate baadalon ke darmiyan

    kuchh huruf-e-na-tawan

    bundiyon ke rup mein kaghaz ke ek purze pe mere samne

    der tak girte rahe

    nazm ke naqsh-e-gurezan ne sitam lakhon sahe

    an-ginat barson pe phaili chashm-o-dil ki dastan

    raat ke pichhle-pahar ki god mein

    tez-tar hoti hui barish ke lori sun ke shayad so gai

    Sleepy in bed, my little son asked

    Difficult questions

    About the moon and distant stars

    His two balloons and the black cat

    Prescribed a glass of warm water for his ailing elephant.

    I wove a tale for his rambling mind

    In the middle of it he fell fast asleep.

    At midnight

    Some feeble words

    Like raindrops from floating clouds

    Descended on a scrap of paper

    In front of me

    And formed the elusive impression of a poem

    I thought I might create;

    Towards morning, the light drizzle

    Turned into a heavy downpour

    The patter of rain

    Like a weird lullaby

    Soothed me to sleep

    subh-dam

    khil uThe chaaron taraf bachchon ke rangin qahqahon aur taliyon ke shoKH phul

    raat-bhar ki tez barish ki banai jhil mein

    Dagmagati Dolti

    chal rahi thin chhoTi chhoTi kashtiyan

    main ne dekha in mein nanhe ki bhi thi pyari si naw

    nazm ka naqsh-e-gurezan jaana-pahchana sa kaghaz jaane-pahchane huruf

    nanha bola aaj jo tali na piTe bewaquf

    In the morning

    Bright flowers

    Of gay laughter and shouts of boisterous children

    Blossomed everywhere

    The overnight rain had formed a lake:

    Small paper boats floated across its rippling waves;

    The scrap of paper, the familiar words, the elusive lines,

    I knew them in a glance-

    Source:

    Lambi Barish (Pg. 50)

    • Author: Balraj Komal
      • Edition: 2002
      • Publisher: Sahitya Akademi, New Delhi
      • Year of Publication: 2002
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now