kandhe pe dhare saz
galiyoñ se guzar jā.ūñ
kāñdhe pe dhare saaz
sab log hamāre
us paar sidhāre
kāñdhe pe dhare saaz
us shoḳh ne ab tak
khole hī nahīñ dvaar
ye abr ye bauchhār
is ḳhvāb meñ ham ko
chalnā hai lagātār
kāñdhe pe dhare saaz
ye shaam suhānī
āñkhoñ se purānī
mahrān ke paanī
tujhmeñ na utar jā.ūñ
kāñdhe pe dhare saaz
galiyon se guzar jaun
kandhe pe dhare saz
sab log hamare
us par sidhaare
kandhe pe dhare saz
us shoKH ne ab tak
khole hi nahin dwar
ye abr ye bauchhaar
is KHwab mein hum ko
chalna hai lagatar
kandhe pe dhare saz
ye sham suhani
aankhon se purani
mahran ke pani
tujhmen na utar jaun
kandhe pe dhare saz
- Book : Mitti Ki Sundarta Dekho (Pg. 102)
- Author : Sarvat Husain
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.