Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kash

MORE BYSarwat Zehra

    kaash samjhautoñ ko

    kāñch chūḌiyoñ tarah

    piis kar khāyā saktā

    tanhā.ī ke zahr ko

    shiv ke niil kañTh tarah

    gale meñ rakh kar jiyā saktā

    kaash

    pyaas ko snow-white ke

    nisf seb tarah

    halaq meñ dabā kar maut niiñd

    abadī vaqfa liyā saktā

    magar ye samjhaute to

    mere ḳhuun ko

    zahr tarah

    niilā karte re haiñ

    merī sāñsoñ ko apne baar se mustaqil

    adh-muā karte rahe haiñ

    kash samjhauton ko

    kanch ki chuDiyon ki tarah

    pis kar khaya ja sakta

    tanhai ke zahr ko

    shiw ke nil kanTh ki tarah

    gale mein rakh kar jiya ja sakta

    kash

    pyas ko snow-white ke

    nisf seb ki tarah

    halaq mein daba kar maut ki nind ka

    abadi waqfa liya ja sakta

    magar ye samjhaute to

    mere KHun ko

    zahr ki tarah

    nila karte ja re hain

    meri sanson ko apne bar se mustaqil

    adh-mua karte ja rahe hain

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now