Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kash main hota ek parinda

Kaukab Dehlvi

kash main hota ek parinda

Kaukab Dehlvi

MORE BYKaukab Dehlvi

    kaash maiñ hotā ek parinda

    kaash maiñ hotā ek parinda

    jagah jagah sair ko jaatā

    sab mulkoñ ḳhabar bhī laatā

    jab thak jaatā tab maiñ gaatā

    gaate gaate maiñ so jaatā

    kaash maiñ hotā ek parinda

    kaale bādal jab chhā jaate

    gaḌ gaḌ gaḌ karte aate

    paanī paiġhām sunāte

    tab maiñ mīThī taan uḌātā

    kaash maiñ hotā ek parinda

    apne ko āzād maiñ kar

    daana dunkā sab kuchh khā kar

    niile se ākāsh meñ kar

    dhīre dhīre maiñ mañDlātā

    kaash maiñ hotā ek parinda

    gaḌ gaḌ gaḌ gaḌ bādal aate

    rim-jhim rim-jhim barsā laate

    umda ik saaz milāte

    tab maiñ giit suhānā gaatā

    kaash maiñ hotā ek parinda

    raam dhanak qaus-e-quzah meñ

    prithvī se ākāsh raah meñ

    jhūlā jo hai ek fazā meñ

    'kaukab' us meñ jhūlne jaatā

    kaash maiñ hotā ek parinda

    kash main hota ek parinda

    kash main hota ek parinda

    jagah jagah ki sair ko jata

    sab mulkon ki KHabar bhi lata

    jab thak jata tab main gata

    gate gate main so jata

    kash main hota ek parinda

    kale baadal jab chha jate

    gaD gaD gaD karte aate

    pani ka paigham sunate

    tab main miThi tan uData

    kash main hota ek parinda

    apne ko aazad main pa kar

    dana dunka sab kuchh kha kar

    nile se aakash mein ja kar

    dhire dhire main manDlata

    kash main hota ek parinda

    gaD gaD gaD gaD baadal aate

    rim-jhim rim-jhim barsa late

    umda sa ek saz milate

    tab main git suhana gata

    kash main hota ek parinda

    ram dhanak ya qaus-e-quzah mein

    prithwi se aakash ki rah mein

    jhula jo hai ek faza mein

    'kaukab' us mein jhulne jata

    kash main hota ek parinda

    Source :

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now