Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kash

MORE BYDarshika wasani

    us ḳhāmosh qil.e

    saḳht lohe dīvāreñ

    har taraf safed ġhamgīn parde

    vo apnī ālī-shān kursī par baiThī

    koī hisāb joḌ rahī hai

    us phīkā sapāT bojhal chehra

    jaise bhītar ek ruup

    us ke uuprī ruup rañg ko khā chukā ho

    achānak darvāze dastak

    dabī huī siskiyoñ shor

    ūñche darvāze ko kholte

    us bhāv-vihīn āñkhoñ meñ

    sañvednāoñ halchal ho uThtī hai

    sub.h os narm dhuup meñ

    nāzuk kopal ek bachcha

    apnī chīḳh ko gale meñ Thuus kar

    us taraf qil.e taraf

    dauḌā aa rahā thā

    abhī gale lagā kar ro paḌegā jaise

    vo ek Tuk use dekhtī rahtī hai

    magar gale nahīñ lagā paatī vo

    us hirdai kahtā hai ki bhej de use

    vāpas us ke ghar jahāñ

    us intizār ho rahā hogā

    is tivr ichhā ke saath

    barsoñ se nirlap rahī us āñkhoñ meñ

    dabī huī bhāvnā.eñ gatī-mān ho kar bahne lagtī hai

    he īshvar vo āñkheñ muuñd letī hai

    mez par rakhī hisāboñ vaalī kitāb dikhā.ī detī hai

    aur nau-pallavit paude

    nāzuk Daalī jaisī uñgliyāñ thaam kar

    vo use qil.e ke bhītar le aatī hai

    totīñg darvāza karkash āvāz ke saath

    band ho jaatā hai

    vo bilakhte hue bachche ko āġhosh meñ le letī hai

    ḳhāmosh kamre meñ us ma.asūm

    dhaḌakne sāñseñ siskiyoñ shor

    tez ho uThtā hai

    vo kas ke us bachche ko

    apne bhītar sameT kar gahrī niiñd sulā detī hai

    jab koī shor baaqī nahīñ rahtā tab

    us ke bhītar rūdan bāhar aane ko taḌaptā hai

    magar us ke adh-mare man mastishk

    use yaad dilāte hai ki

    maut mātam nahīñ manā saktī

    kaash mujhe bhī haq hotā

    darvāze pe aa.e ko vāpas bhejne

    kaash

    bhārī qadmoñ pe uTh kar vo

    us kitāb meñ kuchh joḌ detī hai

    din ujālā surya tej

    lajjit ho kar sar jhukā lete hai

    havā bhī chhobhit ho kar niilī paḌ jaatī hai

    saarī sirishTī añdhkār gart meñ Dūbne lagtī hai

    us KHamosh qile ki

    saKHt lohe si diwaren

    har taraf safed ghamgin parde

    wo apni aali-shan kursi par baiThi

    koi hisab joD rahi hai

    us ka phika sapaT bojhal chehra

    jaise bhitar ka ek rup

    us ke upri rup rang ko kha chuka ho

    achanak darwaze ki dastak

    dabi hui siskiyon ka shor

    unche darwaze ko kholte hi

    us ki bhaw-wihin aankhon mein

    sanwednaon ki halchal ho uThti hai

    subh ki os narm dhup mein

    nazuk kopal sa ek bachcha

    apni chiKH ko gale mein Thus kar

    us ki taraf qile ki taraf

    dauDa aa raha tha

    abhi gale laga kar ro paDega jaise

    wo ek Tuk use dekhti rahti hai

    magar gale nahin laga pati wo

    us ka hirdai kahta hai ki bhej de use

    wapas us ke ghar jahan

    us ka intizar ho raha hoga

    is tiwr ichha ke sath

    barson se nirlap rahi us ki aankhon mein

    dabi hui bhawnaen gati-man ho kar bahne lagti hai

    he ishwar wo aankhen mund leti hai

    mez par rakhi hisabon wali kitab dikhai deti hai

    aur nau-pallawit paude ki

    nazuk Dali jaisi ungliyan tham kar

    wo use qile ke bhitar le aati hai

    toting darwaza karkash aawaz ke sath

    band ho jata hai

    wo bilakhte hue bachche ko aaghosh mein le leti hai

    KHamosh kamre mein us masum ki

    dhaDakne sansen siskiyon ka shor

    tez ho uThta hai

    wo kas ke us bachche ko

    apne bhitar sameT kar gahri nind sula deti hai

    jab koi shor baqi nahin rahta tab

    us ke bhitar ka rudan bahar aane ko taDapta hai

    magar us ke adh-mare man mastishk

    use yaad dilate hai ki

    maut matam nahin mana sakti

    kash mujhe bhi haq hota

    darwaze pe aae ko wapas bhejne ka

    kash

    bhaari qadmon pe uTh kar wo

    us kitab mein kuchh joD deti hai

    din ka ujala surya ka tej

    lajjit ho kar sar jhuka lete hai

    hawa bhi chhobhit ho kar nili paD jati hai

    sari sirishTi andhkar ki gart mein Dubne lagti hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now