Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kawak

Aziz Qaisi

kawak

Aziz Qaisi

MORE BYAziz Qaisi

    sab āñkheñ Tāñgoñ meñ jaḌī haiñ

    riiḌh haDDī ke mankoñ meñ kaan lage haiñ

    naaf ke uupar ro.eñ ro.eñ meñ ek zabāñ hai

    patlūneñ saarī āvāzeñ sun letī haiñ

    do patlūneñ jhagaḌ rahī haiñ

    ''itnī qīmat kyuuñ letī ho tum meñ aisī kyā ḳhūbī hai''

    kaise gāhak ho tum āḳhir mol badan de sakte ho

    patī-vartā mol tumhāre paas nahīñ hai

    chust nukīlā brazier ye chīḳh rahā hai

    sharm nahīñ aatī kuttoñ ko charch ke aage khaḌe hue haiñ

    rustam Tharra piye khaḌā hai bus-stop chhat ke nīche

    aur sohrāb se pūchh rahā hai

    ''beTā maal kahāñ miltā hai?''

    mandir chaukhaT par baiThī andhī āñkheñ

    aate jaate autāroñ ḳhufiya jebeñ taak rahī haiñ

    haspatāl ke ūñche nīche zīnoñ par ik ik murde ko

    gāñdhī donoñ hāthoñ se injection dete phirte haiñ

    washington vietnam meñ baiThā barham-putr ke paanī ko whiskey ke jaam meñ ghol rahā hai

    london lanka saḌkoñ pe sar nivḌhā.e ghuum rahā hai

    kāñgoñ āvāra phirtā hai paris ke gande chakloñ meñ

    budh ke TūTe-phūTe but ke sar par būḌhā kargas

    murdoñ majlis meñ baiThā apnī biptā sunā rahā hai

    masjid ke saa.e meñ baiThā kam-sin gīdaḌ

    us gavāhī meñ kahtā hai

    bechāra kam-sin hai us choñch se ab tak

    duudh ḳhushbū aatī hai

    uupar niile khule gagan meñ

    ek kabūtar apnī choñch meñ ik zaitūn shāḳh liye uḌtā phirtā hai

    aur us shāḳh ke donoñ jānib

    atom bomb ke paat lage haiñ

    insāñ dāyāñ baazū ik barg-e-ḳhizāñ tarah laraz kar TuuT rahā hai

    aur us ke baa.eñ baazū par koh-e-himala dharā huā hai

    jaane phir bhī vo talvār dhaar pe kaise chal saktā hai

    maiñ is bhiiḌ meñ chaurāhe par tanhā baiThā soch rahā huuñ

    duniyā isrāfīl ke pahle suur ke ba.ad yūñhī lagtī hai

    ''gas ke kamre meñ'' shāyad yūñhī hotā hai

    pop paal Topī mere bheje meñ dhañstī jaatī hai

    sab aankhen Tangon mein jaDi hain

    riDh ki haDDi ke mankon mein kan lage hain

    naf ke upar roen roen mein ek zaban hai

    patlunen sari aawazen sun leti hain

    do patlunen jhagaD rahi hain

    itni qimat kyun leti ho tum mein aisi kya KHubi hai

    kaise gahak ho tum aaKHir mol badan ka de sakte ho

    pati-warta ka mol tumhaare pas nahin hai

    chust nukila brazier ye chiKH raha hai

    sharm nahin aati kutton ko charch ke aage khaDe hue hain

    rustam Tharra piye khaDa hai bus-stop ki chhat ke niche

    aur sohrab se puchh raha hai

    beTa mal kahan milta hai?

    mandir ki chaukhaT par baiThi andhi aankhen

    aate jate autaron ki KHufiya jeben tak rahi hain

    haspatal ke unche niche zinon par ek ek murde ko

    gandhi ji donon hathon se injection dete phirte hain

    washington wietnam mein baiTha barham-putr ke pani ko whiskey ke jam mein ghol raha hai

    london lanka ki saDkon pe sar niwDhae ghum raha hai

    kangon aawara phirta hai paris ke gande chaklon mein

    budh ke TuTe-phuTe but ke sar par buDha kargas

    murdon ki majlis mein baiTha apni bipta suna raha hai

    masjid ke sae mein baiTha kam-sin gidaD

    us ki gawahi mein kahta hai

    bechaara kam-sin hai us ki chonch se ab tak

    dudh ki KHushbu si aati hai

    upar nile khule gagan mein

    ek kabutar apni chonch mein ek zaitun ki shaKH liye uDta phirta hai

    aur us shaKH ke donon jaanib

    atom bomb ke pat lage hain

    insan ka dayan bazu ek barg-e-KHizan ki tarah laraz kar TuT raha hai

    aur us ke baen bazu par koh-e-himala dhara hua hai

    jaane phir bhi wo talwar ki dhaar pe kaise chal sakta hai

    main is bhiD mein chaurahe par tanha baiTha soch raha hun

    duniya israfil ke pahle sur ke baad yunhi lagti hai

    gas ke kamre mein shayad yunhi hota hai

    pop pal ki Topi mere bheje mein dhansti jati hai

    RECITATIONS

    Nomaan Shauque

    Nomaan Shauque,

    Nomaan Shauque

    kawak Nomaan Shauque

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now