Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kawish-e-nakaam

Ajay Sahaab

kawish-e-nakaam

Ajay Sahaab

MORE BYAjay Sahaab

    maiñ ne sochā thā ki ik roz bhulā dūñgā tujhe

    apne ehsās se dhaḌkan se miTā dūñgā tujhe

    ek bhūlā huā afsāna banā kar tujh ko

    qabr meñ apne ḳhayāloñ dabā dūñgā tujhe

    par ye merā ahd mujh se mukammal na huā

    aur koshish mirī koshish ke sivā kuchh na rahī

    dil ḳhvāhish ki ye maazī ko miTā Dālegā

    ek nākām kāvish ke sivā kuchh na rahī

    merī mahfil meñ bhī hai mirī ḳhalvat meñ bhī

    merī sāñsoñ meñ bhī hai mirī hasrat meñ bhī

    merī bechainī meñ hai mirī rāhat meñ bhī

    mere andāz-e-junūñ meñ mirī vahshat meñ bhī

    aaj bhī mirī rag rag meñ basā rahtā hai

    shāmil hai masarrat meñ tabassum meñ mire

    merī har raah kahīñ tujh se mil jaatī hai

    terī bātoñ ke sivā kyā hai takallum meñ mire

    maiñ ne ab chhoḌ diyā tujh ko bhulāne junūñ

    aisī koshish nahīñ karnī jo mukammal na ho

    zindagī jiinī hai ab is ke sahāre mujhe

    chāhe vo tujh se milā pyaar ik pal na ho

    main ne socha tha ki ek roz bhula dunga tujhe

    apne ehsas se dhaDkan se miTa dunga tujhe

    ek bhula hua afsana bana kar tujh ko

    qabr mein apne KHayalon ki daba dunga tujhe

    par ye mera hi ahd mujh se mukammal na hua

    aur koshish meri koshish ke siwa kuchh na rahi

    dil ki KHwahish ki ye mazi ko miTa Dalega

    ek nakaam si kawish ke siwa kuchh na rahi

    meri mahfil mein bhi tu hai meri KHalwat mein bhi tu

    meri sanson mein bhi tu hai meri hasrat mein bhi tu

    meri bechaini mein tu hai meri rahat mein bhi tu

    mere andaz-e-junun mein meri wahshat mein bhi tu

    aaj bhi tu meri rag rag mein basa rahta hai

    tu hi shamil hai masarrat mein tabassum mein mere

    meri har rah kahin tujh se hi mil jati hai

    teri baaton ke siwa kya hai takallum mein mere

    main ne ab chhoD diya tujh ko bhulane ka junun

    aisi koshish nahin karni jo mukammal hi na ho

    zindagi jini hai ab is ke sahaare hi mujhe

    chahe wo tujh se mila pyar ka ek pal hi na ho

    Source:

    میں اردو بولوں(شعری مجموعہ) (Pg. 102)

    • Author: اجئے سحاب
      • Publisher: اردو پریس کلب(یو۔پی۔سی) انٹر نیشنل پبلی کیشنز
      • Year of Publication: 2019
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now