Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kabaDDi ki tal par

Syed Zameer Jafri

kabaDDi ki tal par

Syed Zameer Jafri

MORE BYSyed Zameer Jafri

    aao javāno

    dhuum machā.eñ Dhol bajā.eñ

    Dam Dam Dam

    ye khel javān jiyāloñ

    ghī makkhan khāne vāloñ

    nar beTe jīvaT maaoñ ke

    juuñ kaḌiyal kīkar gaañv ke

    biphre dhāre dariyāoñ ke

    tagḌe jhakkaḌ sahrāoñ ke

    aao javāno

    dhuum machā.eñ Dhol bajā.eñ

    Dam Dam Dam Dam

    ye bāñke chhaile rut vaale

    saj-dhaj vaale pat-sat vaale

    ye raag suhāg mashīnoñ ke

    ye hañste phuul zamīnoñ ke

    nam karte haiñ vīrānoñ ko

    bhar dete haiñ khaliyānoñ ko

    aao javāno

    dhuum machā.eñ Dhol bajā.eñ

    Dam Dam Dam Dam

    aao jawano

    dhum machaen Dhol bajaen

    Dam Dam Dam

    ye khel jawan jiyalon ka

    ghi makkhan khane walon ka

    nar beTe jiwaT maon ke

    jun kaDiyal kikar ganw ke

    biphre dhaare dariyaon ke

    tagDe jhakkaD sahraon ke

    aao jawano

    dhum machaen Dhol bajaen

    Dam Dam Dam Dam

    ye banke chhaile rut wale

    saj-dhaj wale pat-sat wale

    ye rag suhag mashinon ke

    ye hanste phul zaminon ke

    nam karte hain viranon ko

    bhar dete hain khaliyanon ko

    aao jawano

    dhum machaen Dhol bajaen

    Dam Dam Dam Dam

    Source:

    Gahvara (Pg. 89)

    • Author: Syed Zameer Jafri
      • Publisher: Tarseel International, Lahore
      • Year of Publication: 1983

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now