Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kabhi na aaenge jaane wale

Tariq Qamar

kabhi na aaenge jaane wale

Tariq Qamar

MORE BYTariq Qamar

    kahāñ ga.e vo

    vatan ismat bachāne vaale

    vaqār-o-azmat baḌhāne vaale

    vafā parcham uThāne vaale unheñ bulāo ham un āñkhoñ se aaj apne vatan ko dekheñ

    kahāñ ga.e vo

    jo dāstān-e-vafā ko apne lahū se tahrīr kar rahe the

    jo apnī āñkhoñ qīmatoñ par bhī ḳhvāb ta.abīr kar rahe the

    jo raushnī ke safīr ban kar diloñ meñ tanvīr kar rahe the

    vafā meñ zanjīr ho rahe the jafā ko zanjīr kar rahe the

    kahāñ ga.e vo qazā ko tasḳhīr karne vaale unheñ bulāo ham un āñkhoñ se aaj apne vatan ko dekheñ

    kahāñ ga.e vo

    ḳhizāñ ko shādāb karne vaale

    lahū ko sailāb karne vaale

    sitam ko ġharqāb karne vaale

    kahāñ ga.e vo vatan ko āzād karne vaale unheñ bulāo ham un āñkhoñ se aaj apne vatan ko dekheñ

    kahāñ ga.e vo

    sahar imkān karne vaale harīf-e-zulmat

    saroñ ko qurbān karne vaale amīn-e-jannat

    vatan pe ehsān karne vaale naqīb-e-hashmat

    kahāñ haiñ āḳhir

    sitam sham.eñ bujhāne vaale

    salīb-o-maqtal sajāne vaale kabhī na ā.eñge jaane vaale

    kahan gae wo

    watan ki ismat bachane wale

    waqar-o-azmat baDhane wale

    wafa ka parcham uThane wale unhen bulao hum un ki aankhon se aaj apne watan ko dekhen

    kahan gae wo

    jo dastan-e-wafa ko apne lahu se tahrir kar rahe the

    jo apni aankhon ki qimaton par bhi KHwab tabir kar rahe the

    jo raushni ke safir ban kar dilon mein tanwir kar rahe the

    wafa mein zanjir ho rahe the jafa ko zanjir kar rahe the

    kahan gae wo qaza ko tasKHir karne wale unhen bulao hum un ki aankhon se aaj apne watan ko dekhen

    kahan gae wo

    KHizan ko shadab karne wale

    lahu ko sailab karne wale

    sitam ko gharqab karne wale

    kahan gae wo watan ko aazad karne wale unhen bulao hum un ki aankhon se aaj apne watan ko dekhen

    kahan gae wo

    sahar ka imkan karne wale harif-e-zulmat

    saron ko qurban karne wale amin-e-jannat

    watan pe ehsan karne wale naqib-e-hashmat

    kahan hain aaKHir

    sitam ki shamen bujhane wale

    salib-o-maqtal sajaane wale kabhi na aaenge jaane wale

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now