Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kahani banao

Iqbal Naazir

kahani banao

Iqbal Naazir

MORE BYIqbal Naazir

    maiñ sahrā taptī huī ret

    ke sañg uḌtā huā ek āvāra kāġhaz

    kahāñ se chalā thā kahāñ aa gayā huuñ

    vo sab dāstāneñ jo mujh pe likhī thiiñ

    vo kuchh bārishoñ aur kuchh āñdhiyoñ ġhizā ban chukī haiñ

    ki phailī huī raushnā.ī ke dhabboñ ne

    mere badan ko dhuāñ kar diyā hai

    mire lafz lafzoñ se yuuñ mil ga.e haiñ

    ki paḌhnā bhī chāho to paḌh na sakoge

    yahāñ kyā likhā thā vahāñ kyā likhā thā

    tumheñ hai tajassus mirī dāstāñ

    to aao mire saath kuchh der aao

    magar yaad rakkho

    tumhārī tarah ke mirī dāstāñ meñ

    hazāroñ paḌe haiñ

    jinheñ bas fasāne banāne ḳhātir

    yūñhī kāġhazoñ ko uThāne dhun hai

    magar maiñ vo kāġhaz vo kāġhaz nahīñ huuñ

    jo kamroñ ke konoñ se aate ki jaate hue haath aa.e

    fasāne sunā.e

    maiñ ik dāstāñ huuñ

    mirā bāb-e-avval hai sahrā kahānī

    jhulastī taḌaptī huī zindagānī

    kahīñ pe maiñ tesha kahīñ tiir huuñ maiñ

    kahīñ pe maiñ majnūñ kahīñ hiir huuñ maiñ

    havāoñ ke jhoñkoñ ke rahm-o-karam par

    maiñ uḌtā huā ek āvāra kāġhaz

    gumāñ nahīñ ik yaqīñ amiiñ huuñ

    mirī justujū hai to sahrā meñ aao

    ki chhāloñ lazzat ke sadme uThāo

    ki kuchh ret oḌho ki kuchh ret phāñko

    kahānī banāo

    tumheñ ye kahānī gavāra nahīñ to

    hazāroñ muzayyan fasāne paḌe haiñ

    unheñ ke dekho vahīñ Duub jaao

    maiñ āvāra kāġhaz pe likkhī huī

    ḳhūñ-chakāñ dāstāñ huuñ

    fasāna samajh kar mujhe bhuul jaao

    main sahra ki tapti hui ret

    ke sang uDta hua ek aawara kaghaz

    kahan se chala tha kahan aa gaya hun

    wo sab dastanen jo mujh pe likhi thin

    wo kuchh barishon aur kuchh aandhiyon ki ghiza ban chuki hain

    ki phaili hui raushnai ke dhabbon ne

    mere badan ko dhuan kar diya hai

    mere lafz lafzon se yun mil gae hain

    ki paDhna bhi chaho to paDh na sakoge

    yahan kya likha tha wahan kya likha tha

    tumhein hai tajassus meri dastan ka

    to aao mere sath kuchh der aao

    magar yaad rakkho

    tumhaari tarah ke meri dastan mein

    hazaron paDe hain

    jinhen bas fasane banane ki KHatir

    yunhi kaghazon ko uThane ki dhun hai

    magar main wo kaghaz wo kaghaz nahin hun

    jo kamron ke konon se aate ki jate hue hath aae

    fasane sunae

    main ek dastan hun

    mera bab-e-awwal hai sahra kahani

    jhulasti taDapti hui zindagani

    kahin pe main tesha kahin tir hun main

    kahin pe main majnun kahin hir hun main

    hawaon ke jhonkon ke rahm-o-karam par

    main uDta hua ek aawara kaghaz

    guman ka nahin ek yaqin ka amin hun

    meri justuju hai to sahra mein aao

    ki chhaalon ki lazzat ke sadme uThao

    ki kuchh ret oDho ki kuchh ret phanko

    kahani banao

    tumhein ye kahani gawara nahin to

    hazaron muzayyan fasane paDe hain

    unhen ja ke dekho wahin Dub jao

    main aawara kaghaz pe likkhi hui

    KHun-chakan dastan hun

    fasana samajh kar mujhe bhul jao

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now