Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kahani bas itni si thi

Maryam Tasleem Kiyani

kahani bas itni si thi

Maryam Tasleem Kiyani

MORE BYMaryam Tasleem Kiyani

    kahānī to merī kuchh thī nahīñ

    ki merī ye zindagī to merī thī nahīñ

    ye to bas āte-jāte logoñ rāhdārī thī

    ek bas stop thā

    jahāñ kuchh der ko log aate the

    aur chale jaate the

    jaise ek hotel thā jahāñ kuchh der ke liye log Thaharte the

    aur maiñ in ko apnī kahānī meñ kuchh der kirdār rakhtī thī

    kahānī merī thī kyā

    merā apnā kirdār to sab meñ baTā huā thā

    jo dikhā.ī kisī ko na detā thā

    maiñ apnī zindagī kahānī meñ ḳhud

    ek kirdār ko janm detī thī

    ek kirdār ko mārtī thī

    merī kahānī bhī kitnī ajiib thī

    ki is meñ asal aur ḳhālis kuchh thā nahīñ

    ek ghaḌī hoī naqlī aur banāvaTī zindagī

    ke alāva

    kahānī to bas itnī thī

    ki kahānī kuchh thī nahīñ

    kahani to meri kuchh thi hi nahin

    ki meri ye zindagi to meri thi hi nahin

    ye to bas aate-jate logon ki rahdari thi

    ya ek bas stop tha

    jahan kuchh der ko log aate the

    aur chale jate the

    jaise ek hotel tha jahan kuchh der ke liye log Thaharte the

    aur main in ko apni kahani mein kuchh der kirdar rakhti thi

    kahani meri thi hi kya

    mera apna kirdar to sab mein baTa hua tha

    jo dikhai kisi ko na deta tha

    main apni zindagi ki kahani mein hi KHud

    ek kirdar ko janm deti thi

    ek kirdar ko marti thi

    meri kahani bhi kitni ajib thi

    ki is mein asal aur KHalis kuchh tha hi nahin

    ek ghaDi hoi naqli aur banawaTi zindagi

    ke alawa

    kahani to bas itni si thi

    ki kahani kuchh thi hi nahin

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now