Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kahani

Mustafa Zaidi

kahani

Mustafa Zaidi

MORE BYMustafa Zaidi

    bachcho, ham par hañsne vālo, aao, tumheñ samjhā.eñ

    jis ke liye is haal ko pahuñche, us naam batā.eñ

    rūp-nagar ik raanī thii, us se huā lagāv

    bachcho, us raanī kahānī sun lo aur so jaao

    us par marnā, aa.heñ bharnā, ronā, khuḌhnā, jalnā

    āb-o-havā par zinda rahnā, añgāroñ par chalnā

    ham jañgal jañgal phirte the us ke liye dīvāne

    rishī bane, majnūñ kahlā.e, lekin haar na maane

    barsoñ kyā kyā chane chabā.e, kyā kyā pāpaḌ bele

    lahroñ ko hamrāz banāyā, tūfānoñ se khele

    daftar bhūle, bistar bhūle, piine lage sarāb

    pal bhar aañkh lage, to aa.eñ ulTe sīdhe ḳhvāb

    niiñd meñ kyā kyā dekheñ, taḌpeñ, ro.eñ, uTh uTh jaa.eñ

    so jaane golī khā.eñ, injection lagvā.eñ

    āḳhir vo ik ḳhvāb meñ aa.ī sun ke hamārā haal

    koyal jaisī baat thī us kii, hirnī jaisī chaal

    kahne lagī, koī jii, terā haal na dekhā jaa.e

    maiñ ne kahā ki raanī apnī parjā ko bahlā.e

    kahne lagī ki kyā legā: sonā, chāndī, haar

    maiñ ne kahā ki rānī, tere mukhḌe talvār

    phir dil ke āñgan meñ utrā us saarā ruup

    us chehre shītal kirneñ, us mukhḌe dhuup

    dhuup paḌī, to khul ga.ī āñkheñ, khul gayā saarā bhed

    ġhash khāyā, to dauḌe aa.e munshī, panDit, ved

    vo din hai aur aaj din hai chhuT gayā khānā paanī

    chhuT gayā khānā pānī, bachcho, ho ga.ī ḳhatm kahānī

    merī kahānī meñ lekin ik bhed hai, us ko paao

    chāñd ko duur duur se dekho chāñd ke paas na jaao

    na apne ghar us ko bulāo

    bachcho, hum par hansne walo, aao, tumhein samjhaen

    jis ke liye is haal ko pahunche, us ka nam bataen

    rup-nagar ki ek rani thi, us se hua lagaw

    bachcho, us rani ki kahani sun lo aur so jao

    us par marna, aahen bharna, rona, khuDhna, jalna

    aab-o-hawa par zinda rahna, angaron par chalna

    hum jangal jangal phirte the us ke liye diwane

    rishi bane, majnun kahlae, lekin haar na mane

    barson kya kya chane chabae, kya kya papaD bele

    lahron ko hamraaz banaya, tufanon se khele

    daftar bhule, bistar bhule, pine lage sarab

    pal bhar aankh lage, to aaen ulTe sidhe KHwab

    nind mein kya kya dekhen, taDpen, roen, uTh uTh jaen

    so jaane ki goli khaen, injection lagwaen

    aaKHir wo ek KHwab mein aai sun ke hamara haal

    koyal jaisi baat thi us ki, hirni jaisi chaal

    kahne lagi, koi ji, tera haal na dekha jae

    main ne kaha ki rani apni parja ko bahlae

    kahne lagi ki tu kya lega: sona, chandi, haar

    main ne kaha ki rani, tere mukhDe ki talwar

    phir dil ke aangan mein utra us ka sara rup

    us chehre ki shital kirnen, us mukhDe ki dhup

    dhup paDi, to khul gai aankhen, khul gaya sara bhed

    ghash khaya, to dauDe aae munshi, panDit, wed

    wo din hai aur aaj ka din hai chhuT gaya khana pani

    chhuT gaya khana pani, bachcho, ho gai KHatm kahani

    meri kahani mein lekin ek bhed hai, us ko pao

    chand ko dur hi dur se dekho chand ke pas na jao

    na apne ghar hi us ko bulao

    RECITATIONS

    Atif Bloch

    Atif Bloch,

    Atif Bloch

    kahaanii Atif Bloch

    Source:

    Kulliyat-e-Mustafa Zaidi(Gireban) (Pg. 41)

    • Author: Mustafa Zaidi
      • Edition: 2011
      • Publisher: Alhamd Publications
      • Year of Publication: 2011
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now