Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kahani

Rabia Basri

kahani

Rabia Basri

MORE BYRabia Basri

    suno tum likh ke de do

    kahānī meñ kahāñ sach hai

    kahāñ pe ruk ke tum ne ġhāliban kuchh jhuuT likhnā hai

    kahāñ aisā koī ik moḌ aanā hai

    jahāñ chālān mumkin hai

    kahāñ vo besh-qīmat

    sunahrī chhoTā Dibbā jo apnī dhaḌkanoñ se apne hone gavāhī de rahā hai

    TuuT jaanā hai

    kahāñ qaarī ko samjhānā hai

    dukh ke is alaav meñ jhulastī kahānī rok denā zarūrī hai

    safar meñ ruk ke sab ko alvidā.a kahne lamha lāzmī hai

    kahāñ tārīḳh likh ke is qalam ko jeb meñ rakhnā zarūrī ho gayā hai

    suno tum ye batāo

    tumhārī tilsmātī kahānī meñ koī kirdār to hogā

    jo zimmedār hogā

    kahāñ par markazī kirdār ne dukh dard siine meñ chhupānā hai

    falak ko bad-gumāñ kar ke

    zamīñ ko āsmāñ hotā dikhānā hai

    nadāmat aur malāmat saath rakhnī hai

    har ik saa.at ke saare dukh uThāne haiñ

    nibhāne haiñ

    batānā hai

    mohabbat zindagī isti.āra hai

    mohabbat raat pahlā sitāra hai

    dukh āḳhirī koī kināra hai

    suno tum likh ke de do na

    kahani mein kahan sach hai

    kahan pe ruk ke tum ne ghaaliban kuchh jhuT likhna hai

    kahan aisa koi ek moD aana hai

    jahan chaalan mumkin hai

    kahan wo besh-qimat sa

    sunahri chhoTa sa Dibba jo apni dhaDkanon se apne hone ki gawahi de raha hai

    TuT jaana hai

    kahan qari ko samjhana hai

    dukh ke is alaw mein jhulasti si kahani rok dena hi zaruri hai

    safar mein ruk ke sab ko alwidaa kahne ka lamha lazmi hai

    kahan tariKH likh ke is qalam ko jeb mein rakhna zaruri ho gaya hai

    suno tum ye batao na

    tumhaari tilsmati si kahani mein koi kirdar to hoga

    jo zimmedar hoga

    kahan par markazi kirdar ne dukh dard sine mein chhupana hai

    falak ko bad-guman kar ke

    zamin ko aasman hota dikhana hai

    nadamat aur malamat sath rakhni hai

    har ek saat ke sare dukh uThane hain

    nibhane hain

    batana hai

    mohabbat zindagi ka istiara hai

    mohabbat raat ka pahla sitara hai

    ya

    dukh ka aaKHiri koi kinara hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now