Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kahin aur hi chalna hoga

Anwar Nadeem

kahin aur hi chalna hoga

Anwar Nadeem

MORE BYAnwar Nadeem

    mere gītoñ meñ mohabbat ne jalā.e haiñ charāġh

    aur yahāñ zulmat-e-zardār ke ghere haiñ tamām

    sab ke hoñToñ pe havasnāk umīdoñ barāt

    koī letā nahīñ ulfat bhare gītoñ salām

    ai mire giit! kahīñ aur chalnā hogā

    tujh ko ma.alūm nahīñ aadam o havvā zamīñ

    apne nāsūr ko parde meñ chhupāne ke liye

    gul kiye detī hai afkār ke ma.asūm charāġh

    har nafas apne garebān pe rakhtī hai nazar

    jis meñ ik taar bhī baaqī nahīñ parde ke liye

    ai mire giit! kahīñ aur chalnā hogā

    aa kahīñ aur kisī desh ko DhūñDeñ chal kar

    ho jahāñ bhuuk na afkār ke pardoñ pe muhīt

    vaqt Daale na jahāñ qaid meñ fikroñ jamāl

    pyaar ke bol ko apnā.e jahāñ saarī zamīñ

    aa usī desh meñ phailā.ūñ tire pyaar nuur

    ai mire giit! kahīñ aur chalnā hogā

    ye bhī mumkin hai ki jholī meñ amal ik roz

    yaas ḳhaak ho aur duur ho apnī manzil

    ārzūoñ koī desh na mil paa.e agar

    mere siine meñ utar ki yahāñ koī nahīñ

    jo tire nuur ko paiġhām ko samjhe aa kar

    ai mire giit kahīñ aur chalnā hogā

    mere giton mein mohabbat ne jalae hain charagh

    aur yahan zulmat-e-zardar ke ghere hain tamam

    sab ke honTon pe hawasnak umidon ki baraat

    koi leta nahin ulfat bhare giton ka salam

    ai mere git! kahin aur hi chalna hoga

    tujh ko malum nahin aadam o hawwa ki zamin

    apne nasur ko parde mein chhupane ke liye

    gul kiye deti hai afkar ke masum charagh

    har nafas apne gareban pe rakhti hai nazar

    jis mein ek tar bhi baqi nahin parde ke liye

    ai mere git! kahin aur hi chalna hoga

    aa kahin aur kisi desh ko DhunDen chal kar

    ho jahan bhuk na afkar ke pardon pe muhit

    waqt Dale na jahan qaid mein fikron ka jamal

    pyar ke bol ko apnae jahan sari zamin

    aa usi desh mein phailaun tere pyar ka nur

    ai mere git! kahin aur hi chalna hoga

    ye bhi mumkin hai ki jholi mein amal ki ek roz

    yas ki KHak ho aur dur ho apni manzil

    aarzuon ka koi desh na mil pae agar

    mere sine mein utar ja ki yahan koi nahin

    jo tere nur ko paigham ko samjhe aa kar

    ai mere git kahin aur hi chalna hoga

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now