Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kahin tum abad to nahin ho

Rafiq Sandelvi

kahin tum abad to nahin ho

Rafiq Sandelvi

MORE BYRafiq Sandelvi

    kaho kaun ho tum

    azal se khaḌe ho

    nigāhoñ meñ hairat ke ḳheme lagā.e

    ufuq ke ghane pāniyoñ taraf

    apnā chehra uThā.e

    kaho kaun ho tum batāo batāo

    kahīñ tum tilism-e-samā.at se nā-āshnā to nahīñ ho

    kahīñ tum vo dar to nahīñ ho

    jo sadiyoñ dastak se khultā nahīñ

    qadīmī shikasta mehrāb ho

    jis meñ koī charāġh-e-rifāqat bhī jaltā nahīñ

    dhund-ālūd kohna pahāḌoñ meñ

    andar andar ko jaatā huā rāsta to nahīñ ho

    vahī rañg ho

    jis se rañg aur aamez hotā nahīñ

    be-numū jhiil jis meñ parinda koī

    apne par tak bhigotā nahīñ

    kaun ho tum batāo batāo

    kahīñ malba-e-vaqt par

    nīstī ke andhere meñ baiThe hue

    roz-e-avval se ujḌe hue

    be-sahārā makīñ to nahīñ ho

    kahīñ tum falak se pare

    vara-e-zamīñ to nahīñ ho!

    kaho kaun ho tum batāo batāo

    kahīñ tum takallum ke asrār se

    lafz ke bhed se nā-balad to nahīñ ho

    kahīñ tum abad to nahīñ ho!!

    kaho kaun ho tum

    azal se khaDe ho

    nigahon mein hairat ke KHeme lagae

    ufuq ke ghane paniyon ki taraf

    apna chehra uThae

    kaho kaun ho tum batao batao

    kahin tum tilism-e-samaat se na-ashna to nahin ho

    kahin tum wo dar to nahin ho

    jo sadiyon ki dastak se khulta nahin

    ya qadimi shikasta si mehrab ho

    jis mein koi charagh-e-rifaqat bhi jalta nahin

    dhund-alud kohna pahaDon mein

    andar hi andar ko jata hua rasta to nahin ho

    wahi rang ho

    jis se rang aur aamez hota nahin

    be-numu jhil jis mein parinda koi

    apne par tak bhigota nahin

    kaun ho tum batao batao

    kahin malba-e-waqt par

    nisti ke andhere mein baiThe hue

    roz-e-awwal se ujDe hue

    be-sahaara makin to nahin ho

    kahin tum falak se pare

    ya wara-e-zamin to nahin ho!

    kaho kaun ho tum batao batao

    kahin tum takallum ke asrar se

    lafz ke bhed se na-balad to nahin ho

    kahin tum abad to nahin ho!!

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now