Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kahkashan

Adeeb Sami Chaman

kahkashan

Adeeb Sami Chaman

MORE BYAdeeb Sami Chaman

    zamīñ se to ye baat hai duur

    magar kahkashāñ hai saḌak nuur

    kahīñ saf-ba-saf rañg botaleñ

    jalā.ī haiñ charḳh ye mash.aleñ

    kareñ ġhaur to aql so jā.egī

    nazar itne tāroñ meñ kho jā.egī

    ye raste meñ sho.ale bichhā.e ga.e

    ki bijlī ke TukḌe uḌaa.e ga.e

    idhar se udhar tak hai dariyā-e-nūr

    ki ā.īna ho gayā chuur chuur

    zamīñ par kahāñ is qadar rañg-o-rūp

    ye shāyad farishtoñ hai dauḌ dhuup

    nazar aa rahā hai ye tāroñ baaġh

    farishtoñ ne raushan kiye haiñ charāġh

    vo bharpūr hai raushnī samāñ

    ki jaise pise chāñd sūraj yahāñ

    samāñ dekh kar tum kahāñ kho ga.e

    'chaman' tum aa kar yahāñ so ga.e

    zamin se to ye baat hai dur ki

    magar kahkashan hai saDak nur ki

    kahin saf-ba-saf rang ki botalen

    jalai hain ya charKH ye mashalen

    karen ghaur to aql so jaegi

    nazar itne taron mein kho jaegi

    ye raste mein shoale bichhae gae

    ki bijli ke TukDe uDae gae

    idhar se udhar tak hai dariya-e-nur

    ki aaina ho gaya chur chur

    zamin par kahan is qadar rang-o-rup

    ye shayad farishton ki hai dauD dhup

    nazar aa raha hai ye taron ka bagh

    farishton ne raushan kiye hain charagh

    wo bharpur hai raushni ka saman

    ki jaise pise chand suraj yahan

    saman dekh kar tum kahan kho gae

    'chaman' ji tum aa kar yahan so gae

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now