Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kai sitare chamak rahe hain

Meeraji

kai sitare chamak rahe hain

Meeraji

MORE BYMeeraji

    laraz laraz kar damak rahe haiñ

    magar jab aa.egā din chītā

    aur un sitāroñ vaqt biitā

    to āsmān ke nukīle jugnū

    baneñge pal meñ Dhalakte aañsū

    sahar ke parde meñ chhupeñge

    maiñ aur aaj haiñ ikaTThe

    sunā rahī hai tirī javānī

    mujhe mire ishq kahānī

    magar hai ik ḳhauf fazā meñ

    hai ek larzish is havā meñ

    sitāre ab TimTimā rahe haiñ

    ḳhizāñ ke āsār chhā rahe haiñ

    mujhe ye mahsūs ho rahā hai

    ki ab sitāroñ vaqt biitā

    bas ab to aa.egā din chītā

    ab āsmān ke nukīle jugnū

    ye dast-e-anjum ke pyāre aahū

    sahar ke parde meñ chhupeñge

    laraz laraz kar damak rahe hain

    magar jab aaega din ka chita

    aur un sitaron ka waqt bita

    to aasman ke nukile jugnu

    banenge pal mein Dhalakte aansu

    sahar ke parde mein ja chhupenge

    main aur tu aaj hain ikaTThe

    suna rahi hai teri jawani

    mujhe mere ishq ki kahani

    magar hai ek KHauf sa faza mein

    hai ek larzish si is hawa mein

    sitare ab TimTima rahe hain

    KHizan ke aasar chha rahe hain

    mujhe ye mahsus ho raha hai

    ki ab sitaron ka waqt bita

    bas ab to aaega din ka chita

    ab aasman ke nukile jugnu

    ye dast-e-anjum ke pyare aahu

    sahar ke parde mein ja chhupenge

    Source:

    Muntakhab Shahkar Nazmon Ka Album) (Pg. 20)

    • Author: Munavvar Jameel
      • Edition: 2000
      • Publisher: Haji Haneef Printer Lahore
      • Year of Publication: 2000
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now