Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kal aaj aur kal

Aditya Pant Naaqid

kal aaj aur kal

Aditya Pant Naaqid

MORE BYAditya Pant Naaqid

    apne mustaqbil-o-māzī faqat soch se

    are nādān kisī tarah pareshān na ho

    haal terā vajūd aur terī pūñjī hai

    ḳharch kar us ko khule haath pashemān na ho

    maanā sunñe meñ sunāne meñ bhalī lagtī haiñ

    kitāboñ meñ paḌhī jaatī haiñ aisī bāteñ

    par haqīqat meñ pare hotī haiñ sachchā.ī se

    sirf ik falsafa rahtī haiñ aisī bāteñ

    apnī ye zindagī jis moḌ pe hai aaj khaḌī

    raah us the dikhāte vo guzishta lamhe

    tajarbe jin se ye jiine salīqa sīkho

    haiñ tumheñ sauñp ke jaate vo guzishta lamhe

    phir bhī kahte ho ki maazī siyah-rāt kahīñ

    haal dhuup sunahrī ko na Dasne paa.e

    biitī yādoñ ne bichhā.e haiñ jo kuchh jaal yahāñ

    in se bachnā hai tumheñ paaoñ na phañsne paa.e

    aur phir rakhe qadam tum ne jo in rāhoñ par

    manzileñ in isī vaqt hai duujā chhor

    kal agar ik hai patañg aaj bane us Dor

    hai asar kal vaqt-e-hāl pe aisā pur-zor

    phir bhī kahte ho ki bas haal parvā karo

    vaqt-e-ā.inda mahz ḳhvāb huā kartā hai

    aaj dariyā hai jo halqe se bahā kartā hai

    kal ke is bahr meñ girdāb huā kartā hai

    hai haqīqat to yahī kahte ho tum haal jise

    kiyā thā kal tak nahīñ ā.inda vaqt qayās

    vaqt ke chalte rahe gar ye salāsil yuuñ

    oḌh legā vahī kal dekhnā maazī libās

    apne mustaqbil-o-mazi ki faqat soch se tu

    are nadan kisi tarah pareshan na ho

    haal hi tera wajud aur teri punji hai

    KHarch kar us ko khule hath pasheman na ho

    mana sunne mein sunane mein bhali lagti hain

    ya kitabon mein paDhi jati hain aisi baaten

    par haqiqat mein pare hoti hain sachchai se

    sirf ek falsafa hi rahti hain aisi baaten

    apni ye zindagi jis moD pe hai aaj khaDi

    rah us ki the dikhate wo guzishta lamhe

    tajarbe jin se ye jine ka saliqa sikho

    hain tumhein saunp ke jate wo guzishta lamhe

    phir bhi kahte ho ki mazi ki siyah-raat kahin

    haal ki dhup sunahri ko na Dasne pae

    biti yaadon ne bichhae hain jo kuchh jal yahan

    in se bachna hai tumhein paon na phansne pae

    aur phir rakhe qadam tum ne jo in rahon par

    manzilen in ki isi waqt ka hai duja chhor

    kal agar ek hai patang aaj bane us ki Dor

    hai asar kal ka waqt-e-haal pe aisa pur-zor

    phir bhi kahte ho ki bas haal hi ki parwa karo

    waqt-e-ainda mahz KHwab hua karta hai

    aaj dariya hai jo halqe se baha karta hai

    kal ke is bahr mein girdab hua karta hai

    hai haqiqat to yahi kahte ho tum haal jise

    kiya tha kal tak nahin aainda waqt ka hi qayas

    waqt ke chalte rahe gar ye salasil yun hi

    oDh lega wahi kal dekhna mazi ka libas

    Source:

    Word File Mail By Salim Saleem

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now