Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kal jo guzar gaya

Javed Nadeem

kal jo guzar gaya

Javed Nadeem

MORE BYJaved Nadeem

    kal jo guzar gayā

    ek ḳhvāb thā ḳhvāb jo TuuT gayā

    ā.īne tarah

    aur TuuTe ā.īne kirchiyāñ sameTnā hāthoñ ko lahūluhān kar degā

    kal aane vaalā

    abr ek paara hai

    jo tumhārī zamīnoñ par barse baġhair bhī guzar saktā hai

    vo tumhārī mauhūm ummīdoñ saaya hai

    aur saaya kab kis ho paayā hai

    tum saa.e ko pakaḌne koshish mat karo

    ki mub.ham ummīdoñ nā-puḳhta shāḳheñ

    ḳhushī se phuul nahīñ khilā saktīñ

    aaj

    aaj tumhārā apnā hai

    tumhārī muTThī ke sikke tarah

    aaj ke paudoñ par khilne vaale phūloñ ko chun lo

    is se pahle

    ki vo murjhā jaa.eñ

    kal jo guzar gaya

    ek KHwab tha KHwab jo TuT gaya

    aaine ki tarah

    aur TuTe aaine ki kirchiyan sameTna hathon ko lahuluhan kar dega

    kal aane wala

    abr ka ek para hai

    jo tumhaari zaminon par barse baghair bhi guzar sakta hai

    wo tumhaari mauhum ummidon ka saya hai

    aur saya kab kis ka ho paya hai

    tum sae ko pakaDne ki koshish mat karo

    ki mubham ummidon ki na-puKHta shaKHen

    KHushi se phul nahin khila saktin

    aaj

    aaj tumhaara apna hai

    tumhaari muTThi ke sikke ki tarah

    aaj ke paudon par khilne wale phulon ko chun lo

    is se pahle

    ki wo murjha jaen

    Source:

    Mauj-e-Khayal (Pg. 45)

    • Author: Javed Nadeem
      • Publisher: Takmeel Publications, Mumbai
      • Year of Publication: 2002
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now