Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kalkatta

Zafar Ali Khan

kalkatta

Zafar Ali Khan

MORE BYZafar Ali Khan

    majlis-e-ittihād-e-millat ko

    likhiye habl-ul-matīn-e-kalkatta

    saare hindostāñ daulat ko

    kahiye milk-e-yamīn-e-kalkatta

    kufr hōgli meñ ke Duub gayā

    diiñ huā hai makīn-e-kalkatta

    asar-e-sajda-hā-e-paiham se

    huī raushan jabīn-e-kalkatta

    har taraf phir rahe haiñ niilī posh

    āsmāñ hai zamīn-e-kalkatta

    majlis-e-ittihad-e-millat ko

    likhiye habl-ul-matin-e-kalkatta

    sare hindostan ki daulat ko

    kahiye milk-e-yamin-e-kalkatta

    kufr hoogli mein ja ke Dub gaya

    din hua hai makin-e-kalkatta

    asar-e-sajda-ha-e-paiham se

    hui raushan jabin-e-kalkatta

    har taraf phir rahe hain nili posh

    aasman hai zamin-e-kalkatta

    Source:

    Chamanistan (Pg. 15)

    • Author: Zafar Ali Khan
      • Publisher: Publishers United Ltd, Lahore
      • Year of Publication: 1944
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now