Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kam ilmi ek saza hai

Sameena Tabassum

kam ilmi ek saza hai

Sameena Tabassum

MORE BYSameena Tabassum

    kānoñ meñ nuqra.ī bāliyāñ pahne

    kandhoñ

    bāzuoñ

    hāthoñ

    aur gardan pe ajīb-o-ġharīb tattōs khudvā.e

    branded kapḌoñ

    jūtoñ se sajā

    qīmtī perfumes se mahaktā

    khisyānī hañsī hañstā

    bechainī se sar khujātā

    ghabrāhaT meñ Tāñgeñ hilātā

    paañv paTaḳhtā

    body builder jaisā

    lambā-taḌañgā mexican

    jānñe ke ḳhauf se adh-muā

    ain mere sāmne

    bebas baiThā huā

    har thoḌī der ke baa'd

    mama-miyā

    ufffff

    sainītā mariyā

    ke na.are lagātā mujhe kahtā hai

    teacher 'samīna'

    tum ek pāgal aurat ho

    aur mujhe bhī pāgal kar dogī

    sab kuchh hone ke bāvajūd

    english zabān na aanā

    use ik shadīd ḳhauf meñ mubtalā kiye hue hai

    maiñ use dekh kar narmī se muskurātī huuñ

    mujhe mālūm hai

    abhī chand dinoñ meñ

    ye ḳhaufzada āñkheñ

    āgahī nuur sameTe

    muskurāne lageñgī

    kanon mein nuqrai baaliyan pahne

    kandhon

    bazuon

    hathon

    aur gardan pe ajib-o-gharib tattoos khudwae

    branded kapDon

    juton se saja

    qimti perfumes se mahakta

    khisyani hansi hansta

    bechaini se sar khujata

    ghabrahaT mein Tangen hilata

    panw paTaKHta

    body builder jaisa

    lamba-taDanga mexican

    na jaanne ke KHauf se adh-mua

    ain mere samne

    bebas baiTha hua

    har thoDi der ke ba'd

    mama-miya

    ufffff

    sainita mariya

    ke nare lagata mujhe kahta hai

    teacher 'samina'

    tum ek pagal aurat ho

    aur mujhe bhi pagal kar dogi

    sab kuchh hone ke bawajud

    english zaban ka na aana

    use ek shadid KHauf mein mubtala kiye hue hai

    main use dekh kar narmi se muskuraati hun

    mujhe malum hai

    abhi chand hi dinon mein

    ye KHaufzada aankhen

    aagahi ka nur sameTe

    muskurane lagengi

    Source :
    ગુજરાતી ભાષા-સાહિત્યનો મંચ : રેખ્તા ગુજરાતી

    ગુજરાતી ભાષા-સાહિત્યનો મંચ : રેખ્તા ગુજરાતી

    મધ્યકાલથી લઈ સાંપ્રત સમય સુધીની ચૂંટેલી કવિતાનો ખજાનો હવે છે માત્ર એક ક્લિક પર. સાથે સાથે સાહિત્યિક વીડિયો અને શબ્દકોશની સગવડ પણ છે. સંતસાહિત્ય, ડાયસ્પોરા સાહિત્ય, પ્રતિબદ્ધ સાહિત્ય અને ગુજરાતના અનેક ઐતિહાસિક પુસ્તકાલયોના દુર્લભ પુસ્તકો પણ તમે રેખ્તા ગુજરાતી પર વાંચી શકશો

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now