Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kanar-e-ab ki ek sham

Krishna Mohan

kanar-e-ab ki ek sham

Krishna Mohan

MORE BYKrishna Mohan

    Interesting Fact

    (ایک تاثر)

    shafaq sonā fazā meñ tahlīl ho rahā hai

    sunahre paanī silvaTeñ raqs kar rahī haiñ

    sipahr-e-maġhrib marg-āmāda-o-ġhurūb-āshnā shuā.eñ

    ḳhamosh lahroñ se yuuñ ham-āġhosh ho rahī haiñ

    ki jaise ḳhvāboñ meñ kho rahī haiñ

    shafaq lahreñ falak tābinda rahguzāroñ ko chūmtī haiñ

    sahāb-pāroñ ko chūmtī haiñ

    sahāb-pāroñ meñ muñh chhupā.e hue sitāroñ ko chūmtī haiñ

    jabīn-e-āb-e-ravāñ pe afshāñ chamak rahī hai

    tilism-āgīñ fazā-e-rañgīñ

    urūs-e-sho.ala-badan larzāñ qabā-e-zarrīñ

    qabā-e-zarrīñ kasmasātī gudāz lahreñ

    ki mahv-e-raqs-o-ġhanā hasīñ larzisheñ badan

    urūs-e-fitrat ke reshmīñ pairahan ye ātishīñ tabassum

    ziyā-e-ḳhāmosh ke sukūt-āshnā tarannum meñ ghul rahā hai

    ki uqda-e-gesū-e-shab-e-tār khul rahā hai

    badan churā.e hue sar-e-rahguzār koī javāñ hasīna

    sabā-ḳhirām-o-sabā-qarīna

    ḳhamosh kuchh sochtī huī ḳhvāb-gāh-e-ishrat ko rahī hai

    fazā-e-tārīk chhā rahī hai

    shafaq ka sona faza mein tahlil ho raha hai

    sunahre pani ki silwaTen raqs kar rahi hain

    sipahr-e-maghrib ki marg-amada-o-ghurub-ashna shuaen

    KHamosh lahron se yun ham-aghosh ho rahi hain

    ki jaise KHwabon mein kho rahi hain

    shafaq ki lahren falak ki tabinda rahguzaron ko chumti hain

    sahab-paron ko chumti hain

    sahab-paron mein munh chhupae hue sitaron ko chumti hain

    jabin-e-ab-e-rawan pe afshan chamak rahi hai

    tilism-agin faza-e-rangin

    urus-e-shoala-badan ki larzan qaba-e-zarrin

    qaba-e-zarrin ki kasmasati gudaz lahren

    ki mahw-e-raqs-o-ghana hasin larzishen badan ki

    urus-e-fitrat ke reshmin pairahan ka ye aatishin tabassum

    ziya-e-KHamosh ke sukut-ashna tarannum mein ghul raha hai

    ki uqda-e-gesu-e-shab-e-tar khul raha hai

    badan churae hue sar-e-rahguzar koi jawan hasina

    saba-KHiram-o-saba-qarina

    KHamosh kuchh sochti hui KHwab-gah-e-ishrat ko ja rahi hai

    faza-e-tarik chha rahi hai

    Source:

    Tehreek Jild 4 No 1 Apr 1956 (Pg. 12)

      • Publisher: Gopal Mittal
      • Year of Publication: 1956
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now