Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kans

MORE BYBimal Krishn Ashk

    us ko yuuñ lagtā thā jaise kuchh na kuchh kal ho rahegā

    jab vo muḌ kar dekhtā thā us ko yuuñ lagtā thā jaise ik bahan ke saat beTe us pīchhā kar rahe hoñ

    aa.ine meñ aks us ko sirf gardan tak dikhā.ī de rahā thā

    us parchhā.īñ yuuñ lagtī thī ki jaise rauzanoñ se aT ga.ī

    saañs āvāz jaane kis jagah gum ho ga.ī thī

    har sitāra jaise ḳhud ko aañkh meñ dohrā rahā thā

    jab vo chāhtā thā to us ke naqsh-e-pā miTTī pe bante nahīñ the

    jaise us ne surḳh sho.ale haar meñ gūñthe hue hoñ

    jaise vo mathurā meñ mādar-zād nangā phir rahā ho

    aur us ko yaad aaya us ko nārad ne batāyā thā vo apne baap beTā nahīñ hai

    us tanhā farz apne rishta-dāroñ par mazālim toḌnā hai

    us ko kyā ma.alūm thā jab maut aa.egī to rishta-dār ban kar aa.egī

    jab vo muḌ kar dekhtā thā us ko yuuñ lagtā thā jaise āThveñ beTe ke dast-e-rāst meñ

    ik gadā hai jis pe us ke naam ke hijje raqam haiñ

    us ko yun lagta tha jaise kuchh na kuchh kal ho rahega

    jab wo muD kar dekhta tha us ko yun lagta tha jaise ek bahan ke sat beTe us ka pichha kar rahe hon

    aaine mein aks us ko sirf gardan tak dikhai de raha tha

    us ki parchhain yun lagti thi ki jaise rauzanon se aT gai

    sans ki aawaz jaane kis jagah gum ho gai thi

    har sitara jaise KHud ko aankh mein dohra raha tha

    jab wo chahta tha to us ke naqsh-e-pa miTTi pe bante hi nahin the

    jaise us ne surKH shoale haar mein gunthe hue hon

    jaise wo mathura mein madar-zad nanga phir raha ho

    aur us ko yaad aaya us ko narad ne bataya tha wo apne bap ka beTa nahin hai

    us ka tanha farz apne rishta-daron par mazalim toDna hai

    us ko kya malum tha jab maut aaegi to rishta-dar ban kar aaegi

    jab wo muD kar dekhta tha us ko yun lagta tha jaise aaThwen beTe ke dast-e-rast mein

    ek gada hai jis pe us ke nam ke hijje raqam hain

    Source:

    Tahreek Jild 28 Shumara 12 March 1981-Svk (Pg. 22)

      • Publisher: Gopal Mittal
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now