Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

karan-ta-karan

Wazir Agha

karan-ta-karan

Wazir Agha

MORE BYWazir Agha

    jo maza chāhat meñ hai

    hāsil meñ us ko DhūñDhnā be-kār hai

    ho kahāñ tum kis jahāñ meñ

    kyuuñ mujhe ma.alūm ho?

    dhund meñ ho ḳhvāb meñ

    āsmāñ qaus meñ

    mauj gardish meñ ho

    tum haath rekhā ke andar ho kahīñ

    duur sannāToñ ke Takrāv se paidā

    an-sunī āvāz rezish meñ ho

    chāhe kahīñ bhī ho

    mirī chāhat ke phaile bāzuoñ ke

    halqa-e-mauhūm meñ maujūd ho!

    lams meñ hiddat bahut hai

    aur sitāroñ chubhan bhī mujhe ehsās hai

    band muTThī meñ dabe motī

    lazzat se bhī huuñ maiñ āshnā

    par bayāñ kaise karūñ

    vo lutf jo chāhat phailī boss

    mad.hosh-kun ThanDak meñ hai

    chāhat ke har dam

    phailte āfāq larzish meñ hai!!

    jo maza chahat mein hai

    hasil mein us ko DhunDhna be-kar hai

    ho kahan tum kis jahan mein

    kyun mujhe malum ho?

    dhund mein ho KHwab mein

    ya aasman ki qaus mein

    ya mauj ki gardish mein ho

    tum hath ki rekha ke andar ho kahin

    ya dur sannaTon ke Takraw se paida

    an-suni aawaz ki rezish mein ho

    chahe kahin bhi ho

    meri chahat ke phaile bazuon ke

    halqa-e-mauhum mein maujud ho!

    lams mein hiddat bahut hai

    aur sitaron ki chubhan ka bhi mujhe ehsas hai

    band muTThi mein dabe moti

    ki lazzat se bhi hun main aashna

    par bayan kaise karun

    wo lutf jo chahat ki phaili boss ki

    madhosh-kun ThanDak mein hai

    chahat ke har dam

    phailte aafaq ki larzish mein hai!!

    Source:

    Quarterly TASTEER Lahore (Pg. 73)

    • Author: Naseer Ahmed Nasir
      • Edition: Issue No. 4, Jan To Mar.1998
      • Publisher: Room No.-1,1st Floor, Awan Plaza, Shadman Market, Lahore
      • Year of Publication: Issue No. 4, Jan To Mar.1998
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now