Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kashmir

Rifat Sarosh

kashmir

Rifat Sarosh

MORE BYRifat Sarosh

    āmājgah-e-nūr hai kohsār-e-himāla

    hai ġhairat-e-sad-tūr ye bhārat shivāla

    kohsār nahīñ tāj-e-vatan amn haala

    sahbā-e-mohabbat chhalaktā huā pyāla

    kashmīr himāla dhaḌaktā huā dil hai

    is vaadī har phuul mahaktā huā dil hai

    is vaadī tārīḳh uḳhuvvat fasāna

    is vaadī har naġhma mohabbat tarāna

    is vaadī har zarra ma.ānī ḳhazāna

    is vaadī tahzīb ne dekhā hai zamāna

    ye vādī-e-gul aaj bhī gulzār-e-iram hai

    is vaadī har phuul bahāroñ sanam hai

    aamajgah-e-nur hai kohsar-e-himala

    hai ghairat-e-sad-tur ye bhaarat ka shiwala

    kohsar nahin taj-e-watan amn ka haala

    sahba-e-mohabbat ka chhalakta hua pyala

    kashmir himala ka dhaDakta hua dil hai

    is wadi ka har phul mahakta hua dil hai

    is wadi ki tariKH uKHuwwat ka fasana

    is wadi ka har naghma mohabbat ka tarana

    is wadi ka har zarra maani ka KHazana

    is wadi ki tahzib ne dekha hai zamana

    ye wadi-e-gul aaj bhi gulzar-e-iram hai

    is wadi ka har phul bahaaron ka sanam hai

    Source:

    Raushni Ka Safar (Pg. e-64 p-65)

    • Author: Rifat Sarosh
      • Edition: 1974
      • Publisher: Idaara-e-Ishat-e-Urdu, Amroha, U. P.
      • Year of Publication: 1974
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now