kashmiri murghi
paapā mere kashmīr se aa.e
saath meñ ik murġhī bhī laa.e
nasl bhī is kī kashmīrī hai
ruup adā bhī kashmīrī hai
kitnī sundar kitnī pyārī
par haiñ is ke yā gul-kārī
qaus-o-quzah se rañg haiñ is ke
uude piile laal aur niile
anDe detī hai rozāna
ḳhuub hī khātī hai ye daana
sahn meñ din bhar ghūmtī hai ye
har shai achchhī chūmtī hai ye
paas hai kuuḌe ke jaatī
gandī chīzeñ bhī hai khātī
bablū jab bhī paas bulā.e
dauḌ ke fauran ye bhī aa.e
kaT kuuñ kaT kuuñ kartī hai ye
apnā raqs dikhātī hai ye
god meñ phir vo le letā hai
muñh meñ daanā de detā hai
chyūñTe kiiḌe kī dushman hai
chiḌiyā kavve kī dushman hai
choñch se maar bhagā detī hai
jiit kī phir ye sadā detī hai
yuuñ to bahādur aur jarī hai
lekin ik aadat ye burī hai
billī jab bhī aa jaatī hai
ye Darbe meñ ghus jaatī hai
papa mere kashmir se aae
sath mein ek murghi bhi lae
nasl bhi is ki kashmiri hai
rup ada bhi kashmiri hai
kitni sundar kitni pyari
par hain is ke ya gul-kari
qaus-o-quzah se rang hain is ke
ude pile lal aur nile
anDe deti hai rozana
KHub hi khati hai ye dana
sahn mein din bhar ghumti hai ye
har shai achchhi chumti hai ye
pas hai kuDe ke jati
gandi chizen bhi hai khati
bablu jab bhi pas bulae
dauD ke fauran ye bhi aae
kaT kun kaT kun karti hai ye
apna raqs dikhati hai ye
god mein phir wo le leta hai
munh mein dana de deta hai
chyunTe kiDe ki dushman hai
chiDiya kawwe ki dushman hai
chonch se mar bhaga deti hai
jit ki phir ye sada deti hai
yun to bahadur aur jari hai
lekin ek aadat ye buri hai
billi jab bhi aa jati hai
ye Darbe mein ghus jati hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.