Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

katba(2)

MORE BYKhalilur Rahman Azmi

    ye us shaḳhs qabr hai

    jis ke ab jism koī zarra yahāñ par nahīñ hai

    na us ko koī kaam is qabr se

    na us ko ḳhabar hai

    ki ye kis ghar hai

    to us shaḳhs ke ek be-nām ghar ko

    koī kyuuñ kisī naam se aaj mansūb kar de

    aur us naam ek katba banā.e

    ye duniyā hai jis meñ na aisā koī ghar banā hai na aage banegā

    ki us makīñ apne ghar meñ hamesha rahegā

    to ab kyā koī ghar?

    aur us ghar pe ik naam kanda

    ki jis marhale par kisī ko kisī ghar koī zarūrat nahīñ hai

    ye us shaKHs ki qabr hai

    jis ke ab jism ka koi zarra yahan par nahin hai

    na us ko koi kaam is qabr se

    na us ko KHabar hai

    ki ye kis ka ghar hai

    to us shaKHs ke ek be-nam ghar ko

    koi kyun kisi nam se aaj mansub kar de

    aur us nam ka ek katba banae

    ye duniya hai jis mein na aisa koi ghar bana hai na aage banega

    ki us ka makin apne ghar mein hamesha rahega

    to ab kya koi ghar?

    aur us ghar pe ek nam kanda

    ki jis marhale par kisi ko kisi ghar ki koi zarurat nahin hai

    Source:

    Zindagi Ae Zindagi (Pg. 78)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now