Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kaun hai in ka KHuda

Sada Ambalvi

kaun hai in ka KHuda

Sada Ambalvi

MORE BYSada Ambalvi

    piiTh meñ kūbaḌ liye paañv se lañgḌātā huā

    bhiik dar-dar māñgtā phirtā apāhij gadā

    bah rahe nāsūr jis ke chīthaḌoñ se tan ladā

    kaun hai is masīhā kaun hai is ḳhudā

    kam-sinī meñ gaal pichke ruḳh gul-e-pāmāl

    ghar se be-ghar hai jo bachcha bhuuk se behāl

    Dher meñ kuuḌe ke jo roTī ke TukḌe bīntā

    kaun hai is masīhā kaun hai is ḳhudā

    adh-khilī nāzuk kalī chehra hai jis zard

    sharm se āñkheñ jhukī lahja sarāpā dard

    jis ko paapī peT ḳhātir paḌā tan bechnā

    kaun hai is masīhā kaun hai is ḳhudā

    ādam-o-havvā to aulād ye lagte nahīñ

    ye to us insān ke ham-jins ho sakte nahīñ

    ho ga.e the jis pe jannat ke farishte bhī fidā

    kaun hai in masīhā kaun hai in ḳhudā

    ai mire maulā agar in bhī hai ḳhudā

    is qadar kyoñ haal se mere hai haal in judā

    bol ye kis ko pukāreñ kis ko āḳhir deñ sadā

    kaun hai in masīhā kaun hai in ḳhudā

    piTh mein kubaD liye panw se langData hua

    bhik dar-dar mangta phirta apahij sa gada

    bah rahe nasur jis ke chithaDon se tan lada

    kaun hai is ka masiha kaun hai is ka KHuda

    kam-sini mein gal pichke ruKH gul-e-pamal sa

    ghar se be-ghar hai jo bachcha bhuk se behaal sa

    Dher mein kuDe ke jo roTi ke TukDe binta

    kaun hai is ka masiha kaun hai is ka KHuda

    adh-khili nazuk kali chehra hai jis ka zard sa

    sharm se aankhen jhuki lahja sarapa dard sa

    jis ko papi peT ki KHatir paDa tan bechna

    kaun hai is ka masiha kaun hai is ka KHuda

    aadam-o-hawwa ki to aulad ye lagte nahin

    ye to us insan ke ham-jins ho sakte nahin

    ho gae the jis pe jannat ke farishte bhi fida

    kaun hai in ka masiha kaun hai in ka KHuda

    ai mere maula agar in ka bhi hai tu hi KHuda

    is qadar kyon haal se mere hai haal in ka juda

    bol ye kis ko pukaren kis ko aaKHir den sada

    kaun hai in ka masiha kaun hai in ka KHuda

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now