Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kaun samjhe tujhe

nawed malik

kaun samjhe tujhe

nawed malik

MORE BYnawed malik

    shā.irī

    parindoñ choñchoñ pe ugtī huī naġhmagī

    daraḳhtoñ chhāñv meñ paltī huī sādgī

    bahāroñ ke dāman meñ bikhrī huī be-ḳhudī

    sulagte savāloñ ke bātin meñ bahkī huī aarzū

    hai ma.asūm bachche āñkhoñ meñ hairat-kada

    kaun samjhe tujhe

    tīrgī raushnī zindagī bebasī aadmī

    aur ik kāmanī

    kaun terī zabāñ se huā āshnā

    kaun samjhā tujhe

    pāniyoñ laḌā.ī meñ maujoñ ne terī koī

    baat maanī hai kyā

    sarhadoñ par bhaḌaktī huī aag ne

    tere qadmoñ pe bosā diyā hai kabhī

    shā.irī

    aa zarā dekh le

    mere pahlū meñ bargad ke paale hue vasvase

    apne māthe se chup lakīreñ miTā aur batā

    isti.āroñ se bargad shāḳheñ bhī kaTtī haiñ kyā

    shā.irī

    tujh se to

    kāmanī koī ek jazba bhī mahkā nahīñ

    tujh se duniyā meñ kyā inqalāb aa.egā

    shā.irī

    dekh mere sirhāne tamannā.eñ kitnī haiñ zanjīr-e-pā

    kitne ḳhvāboñ ke TuuTe hue

    par haiñ bikhre hue

    aa ki mil kar ajal ke kisī

    gosha-e-nam meñ jaane ko raḳht-e-safar bāñdh leñ

    kaun samjhā tujhe kaun samjhe tujhe

    shairi

    tu parindon ki chonchon pe ugti hui naghmagi

    tu daraKHton ki chhanw mein palti hui sadgi

    tu bahaaron ke daman mein bikhri hui be-KHudi

    tu sulagte sawalon ke baatin mein bahki hui aarzu

    tu hai masum bachche ki aankhon mein hairat-kada

    kaun samjhe tujhe

    tirgi raushni zindagi bebasi aadmi

    aur ek kaamani

    kaun teri zaban se hua aashna

    kaun samjha tujhe

    paniyon ki laDai mein maujon ne teri koi

    baat mani hai kya

    sarhadon par bhaDakti hui aag ne

    tere qadmon pe bosa diya hai kabhi

    shairi

    aa zara dekh le

    mere pahlu mein bargad ke pale hue waswase

    apne mathe se chup ki lakiren miTa aur bata

    istiaron se bargad ki shaKHen bhi kaTti hain kya

    shairi

    tujh se to

    kaamani ka koi ek jazba bhi mahka nahin

    tujh se duniya mein kya inqalab aaega

    shairi

    dekh mere sirhane tamannaen kitni hain zanjir-e-pa

    kitne KHwabon ke TuTe hue

    par hain bikhre hue

    aa ki mil kar ajal ke kisi

    gosha-e-nam mein jaane ko raKHt-e-safar bandh len

    kaun samjha tujhe kaun samjhe tujhe

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now