Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

Khaalid ki salgirah

Raza Ali Abidi

Khaalid ki salgirah

Raza Ali Abidi

MORE BYRaza Ali Abidi

    saarā kamrā sajā huā thā

    biich meñ thā ik cake dharā

    puure ghar meñ shor machā thā

    ḳhālid thī saal girah

    pahlā mehmāñ saath meñ laayā

    ġhubbāra ik gas bharā

    dūsre ne bhī aa ke thamāyā

    ġhubāra ik gas bharā

    tīsre mehmāñ ne pakḌāyā

    ġhubāra ik gas bharā

    chauthā mehmāñ le kar aayā

    ġhubāra ik gas bharā

    pāñchveñ ne bhī use diyā thā

    ġhubāra ik gas bharā

    ḳhālid ne muTThī meñ pakḌe

    itne saare ġhubāre

    ġhubāroñ meñ gas bharī thī

    sab uupar ko uḌne lage

    bechāra ḳhālid bhī un ke

    saath havā meñ uḌne lagā

    nīche se mehmāñ chillā.e

    cake to kāTte jaao zarā

    sara kamra saja hua tha

    bich mein tha ek cake dhara

    pure ghar mein shor macha tha

    KHalid ki thi sal girah

    pahla mehman sath mein laya

    ghubbara ek gas bhara

    dusre ne bhi aa ke thamaya

    ghubara ek gas bhara

    tisre mehman ne pakDaya

    ghubara ek gas bhara

    chautha mehman le kar aaya

    ghubara ek gas bhara

    panchwen ne bhi use diya tha

    ghubara ek gas bhara

    KHalid ne muTThi mein pakDe

    itne sare ghubare

    ghubaron mein gas bhari thi

    sab upar ko uDne lage

    bechaara KHalid bhi un ke

    sath hawa mein uDne laga

    niche se mehman chillae

    cake to kaTte jao zara

    Source:

    Pahla Tara (Pg. 45)

    • Author: Raza Ali Abidi
      • Publisher: Sang-e-Meel Publications, Lahore

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now