Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

KHamoshi ka shahr

Anees Nagi

KHamoshi ka shahr

Anees Nagi

MORE BYAnees Nagi

    havā dhund ke phaile lab chūmtī hai

    kahāñ zindagī hai?

    kahāñ zindagī ke nishāñ haiñ ki tum shahr meñ ho

    jahāñ ek ruup hai jo hamesha rahegā

    uTho bāvle ab tumheñ kis tamannā ne manzil dhokā diyā hai

    ki tum saañs oT meñ chup khaḌe sochte ho

    yahāñ har nafas be-sadā hai

    yahāñ har ghaḌī ab sisaktī zanjīr

    har ik vafā tīrgī sutūñ hai

    chalo ḳhvāhisheñ DhūñDne

    ban-sañvar ke chalo ḳhvāhisheñ DhūñDnī haiñ

    nahīñ to yahī ḳhāmushī bhuut ban kar

    gharoñ ke kivāḌoñ ke pīchhe hamesha Darātī rahegī

    hawa dhund ke phaile lab chumti hai

    kahan zindagi hai?

    kahan zindagi ke nishan hain ki tum shahr mein ho

    jahan ek hi rup hai jo hamesha rahega

    uTho bawle ab tumhein kis tamanna ne manzil ka dhoka diya hai

    ki tum sans ki oT mein chup khaDe sochte ho

    yahan har nafas be-sada hai

    yahan har ghaDi ab sisakti si zanjir

    har ek wafa tirgi ka sutun hai

    chalo KHwahishen DhunDne

    ban-sanwar ke chalo KHwahishen DhunDni hain

    nahin to yahi KHamushi bhut ban kar

    gharon ke kiwaDon ke pichhe hamesha Daraati rahegi

    Source:

    Nai Nazm ka safar (Pg. 221)

    • Author: Khalilur Rahman Azmi
      • Edition: 2011
      • Publisher: NCPUL, New Delhi
      • Year of Publication: 2011
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now