Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

KHabar

Yusuf Zafar

KHabar

Yusuf Zafar

MORE BYYusuf Zafar

    bail ne gaa.e muñh chūmā ḳhabar ban na sakī

    dekhne vāloñ ko irfān-e-nazar ho na sakā

    ghoḌe ne ghoḌī muñh chūmā ḳhabar ban na sakī

    hinhināyā pe koī ahl-e-ḳhabar ho na sakā

    ye ḳhabar hai ki sar-e-rāh kisī laḌkī ko

    chūmtā pakḌā gayā ek sharābī laḌkā

    vahīñ qānūn zanjīr-e-girāñ tauq banī

    vahīñ aḳhbār surḳhī ne unheñ pakḌā

    maiñ yahī soch rahā thā ki sar-e-shām mujhe

    jaate sūraj ke bhī atvār kuchh aise mile

    us muñh zard thā ehsās-e-judā.ī hogā

    us ne ik badlī muñh chuum liyā chupke se

    daf.atan badlī muñh surḳh huā aur hayā

    dauḌī ḳhuuñ ban ke rag-o-pai meñ ki gulnār huī

    us ke dāman pe chhalak uTThe sitāre aañsū

    aur sūraj tarah ḳhud bhī vahīñ Duub ga.ī

    vahī taare the magar raat ke aḳhbār-farosh

    ye ḳhabar shaam se saare falak par pahuñchī

    pahle to lākhoñ darīchoñ se nigahbāñ jhāñke

    chāñdnī chhiTkī to phir chāñd ne rakhvālī

    sub.h-dam niiñd ke maate the sabhī ahl-e-falak

    sūraj aayā to kisī ko na rahā is ḳhayāl

    vahī badlī thī ufuq par vahī unvān-e-hayā

    donoñ takte rahe mab.hūt nigāhoñ se jamāl

    phir mohabbat ne kiyā sabt salām-e-rañgīñ

    surḳh badlī lahū dauḌ gayā chaar taraf

    donoñ ḳhush the unheñ ma.alūm thā āzād haiñ vo

    un milnā nahīñ insāñ nigāhoñ hadaf

    maiñ ne dekhī hai magar donoñ ye gustāḳhī

    maiñ ḳhabar detā huuñ aḳhbār ko dekho to sahī

    bail ne gae ka munh chuma KHabar ban na saki

    dekhne walon ko irfan-e-nazar ho na saka

    ghoDe ne ghoDi ka munh chuma KHabar ban na saki

    hinhinaya pe koi ahl-e-KHabar ho na saka

    ye KHabar hai ki sar-e-rah kisi laDki ko

    chumta pakDa gaya ek sharabi laDka

    wahin qanun ki zanjir-e-giran tauq bani

    wahin aKHbar ki surKHi ne unhen ja pakDa

    main yahi soch raha tha ki sar-e-sham mujhe

    jate suraj ke bhi atwar kuchh aise hi mile

    us ka munh zard tha ehsas-e-judai hoga

    us ne ek badli ka munh chum liya chupke se

    dafatan badli ka munh surKH hua aur haya

    dauDi KHun ban ke rag-o-pai mein ki gulnar hui

    us ke daman pe chhalak uTThe sitare aansu

    aur suraj ki tarah KHud bhi wahin Dub gai

    wahi tare the magar raat ke aKHbar-farosh

    ye KHabar sham se hi sare falak par pahunchi

    pahle to lakhon darichon se nigahban jhanke

    chandni chhiTki to phir chand ne ki rakhwali

    subh-dam nind ke mate the sabhi ahl-e-falak

    suraj aaya to kisi ko na raha is ka KHayal

    wahi badli thi ufuq par wahi unwan-e-haya

    donon takte rahe mabhut nigahon se jamal

    phir mohabbat ne kiya sabt salam-e-rangin

    surKH badli ka lahu dauD gaya chaar taraf

    donon KHush the unhen malum tha aazad hain wo

    un ka milna nahin insan ki nigahon ka hadaf

    main ne dekhi hai magar donon ki ye gustaKHi

    main KHabar deta hun aKHbar ko dekho to sahi

    Source:

    shaahraah(12) (Pg. 68)

      • Edition: 1950
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now