Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

KHadsha

Mohsin Naqvi

KHadsha

Mohsin Naqvi

MORE BYMohsin Naqvi

    ye terī jhiil āñkhoñ meñ ratjagoñ ke bhañvar

    ye tere phuul se chehre pe chāñdnī phuvār

    ye tere lab ye dayār-e-yaman ke surḳh aqiiq

    ye aa.ine jabīñ sajda-gāh-e-lail-o-nihār

    ye be-niyāz ghane jañgaloñ se baal tire

    ye phūltī huī sarsoñ aks gāloñ par

    ye dhaḌkanoñ zabāñ bolte hue aabrū

    kamand Daal rahe haiñ mire ḳhayāloñ par

    tirī jabīñ pe agar hādsoñ ke naqsh ubhreñ

    mizāj-e-gardish-e-daurāñ bhī laḌkhaḌā jaa.e

    muskurā.e to sub.heñ tujhe salām kareñ

    ro paḌe to zamāne aañkh bhar aa.e

    magar maiñ shahr-e-havādis ke sang-zādoñ se

    ye aa.ine badan kis tarah bachā.uñgā

    mujhe ye Dar hai kisī roz tere qurb samet

    maiñ ḳhud bhī dukh ke samundar meñ Duub jā.ūñgā

    ye teri jhil si aankhon mein ratjagon ke bhanwar

    ye tere phul se chehre pe chandni ki phuwar

    ye tere lab ye dayar-e-yaman ke surKH aqiq

    ye aaine si jabin sajda-gah-e-lail-o-nihaar

    ye be-niyaz ghane jangalon se baal tere

    ye phulti hui sarson ka aks galon par

    ye dhaDkanon ki zaban bolte hue aabru

    kamand Dal rahe hain mere KHayalon par

    teri jabin pe agar hadson ke naqsh ubhren

    mizaj-e-gardish-e-dauran bhi laDkhaDa jae

    tu muskurae to subhen tujhe salam karen

    tu ro paDe to zamane ki aankh bhar aae

    magar main shahr-e-hawadis ke sang-zadon se

    ye aaine sa badan kis tarah bachaunga

    mujhe ye Dar hai kisi roz tere qurb samet

    main KHud bhi dukh ke samundar mein Dub jaunga

    Source:

    Muntakhab Shahkar Nazmon Ka Album) (Pg. 457)

    • Author: Munavvar Jameel
      • Edition: 2000
      • Publisher: Haji Haneef Printer Lahore
      • Year of Publication: 2000
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now