Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

KHala aur KHuda

Mohammad Haneef Rame

KHala aur KHuda

Mohammad Haneef Rame

MORE BYMohammad Haneef Rame

    terī raah dekhte dekhte

    āñkhoñ ne dekhnā chhoḌ diyā hai

    afsurdagī haDDiyoñ ke guude meñ Tīseñ maar rahī hai

    gosht-post thor-zada zamīn tarah barbādī naqsha pesh kar rahā hai

    lahū shiryānoñ meñ jam kar rah gayā hai

    na aane vaale kab tak na aa.egā

    kā.enātoñ ke ḳhāliq kin āfāq meñ kho gayā hai

    kaun se āsmān bhā ga.e haiñ tujhe

    kaun se ḳhalā khā ga.e haiñ tujhe

    ḳhalā pasand haiñ to mere dil meñ aa

    ki ne is se baḌā black-hole to abhī tak paidā nahīñ kiyā

    aa ai ḳhudā aa

    aa mere dil ke ḳhalā meñ aa

    agar har jagah hai to merā dil kyuuñ ḳhālī hai

    dil ke athāh pātāl meñ DhūñDhtā huuñ aur tujhe paatā nahīñ

    sochtā huuñ kahīñ ḳhalā ḳhudā na ho

    shāyad intizār us maujūdgī ho

    shāyad adam us vajūd ho

    aur nafī us isbāt

    phir ye soch palTā khātī aur dil ke ḳhalā meñ utar jaatī hai

    aur ek āvāra āvāz tarah gūñjtī hai

    gūñjtī hai gūñjtī hai gūñje chalī jaatī hai

    aur āhista āhista ek lafz meñ Dhal jaatī hai

    ḳhudā

    aur āḳhir meñ ek sur rah jaatā hai

    aa

    duur kahīñ kisī ne darbārī alaap chheḌā hai

    aa

    merī pathrā.ī huī āñkheñ nam ho jaatī haiñ

    dil ḳhuun ho kar

    āñkhoñ se Tapak paḌtā hai

    aur dil ke ḳhalā meñ gūñjtī huī āvāz pukār uThtī hai

    maiñ ne to pahle kahā thā

    yahī ḳhudā hai

    teri rah dekhte dekhte

    aankhon ne dekhna hi chhoD diya hai

    afsurdagi haDDiyon ke gude mein Tisen mar rahi hai

    gosht-post thor-zada zamin ki tarah barbaadi ka naqsha pesh kar raha hai

    lahu shiryanon mein jam kar rah gaya hai

    na aane wale tu kab tak na aaega

    kaenaton ke KHaliq kin aafaq mein kho gaya hai tu

    kaun se aasman bha gae hain tujhe

    kaun se KHala kha gae hain tujhe

    KHala hi pasand hain to mere dil mein aa

    ki tu ne is se baDa black-hole to abhi tak paida nahin kiya

    aa ai KHuda aa

    aa mere dil ke KHala mein aa

    tu agar har jagah hai to mera dil kyun KHali hai

    dil ke athah patal mein DhunDhta hun aur tujhe pata nahin

    sochta hun kahin KHala hi KHuda na ho

    shayad intizar hi us ki maujudgi ho

    shayad adam hi us ka wajud ho

    aur nafi us ka isbaat

    phir ye soch palTa khati aur dil ke KHala mein utar jati hai

    aur ek aawara aawaz ki tarah gunjti hai

    gunjti hai gunjti hai gunje hi chali jati hai

    aur aahista aahista ek lafz mein Dhal jati hai

    KHuda

    aur aaKHir mein ek sur rah jata hai

    aa

    dur kahin kisi ne darbari ka alap chheDa hai

    aa

    meri pathrai hui aankhen nam ho jati hain

    dil KHun ho kar

    aankhon se Tapak paDta hai

    aur dil ke KHala mein gunjti hui aawaz pukar uThti hai

    main ne to pahle hi kaha tha

    yahi KHuda hai

    Source:

    din kaa phool (Pg. 23)

    related content

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now