Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

KHalish-e-tassur

Qayyum Nazar

KHalish-e-tassur

Qayyum Nazar

MORE BYQayyum Nazar

    ḳhāmosh huā bheḌoñ gallā chalte chalte mimyā kar

    pahuñchā shāyad baaḌe meñ buusī raste meñ phailā kar

    chup-chāp khaḌā hai duur udhar vo jañgal kaalī chīloñ

    sarsabz pahāḌoñ ko pur-haul banāne vaalī chīloñ

    āvāz nahīñ aatī ab jhiil jānib se murġhābī

    sunsān fazā be-jān havā meñ larzāñ ruuh ḳhamoshī

    yuuñ laa.ī dosh pe laash kyā rañgīñ din barbādī

    ye shaam ye gahrī shaam ye har lahza baḌhtī huī tārīkī!

    qudarat ke sukūt-e-mujassam is haibat-zā ārā.ish se

    vaadī ke zarre zarre ham-āhañgī numā.ish se

    har naqsh-e-shajar har fīl-numā patthar duniyā hai tilismoñ

    had nahīñ aatī koī nazar us turfa-fusūñ qismoñ

    har shai par ḳhvāb taarī hai aur maiñ huuñ sarf-e-be-ḳhvābī

    lene nahīñ detī dam mujh ko merī fitrat-e-sīmābī

    ai kaash kabhī kam kar saktī mere bhī dil betābī

    ye shaam ye gahrī shaam ye har lahza baḌhtī huī tārīkī

    maiñ masnūāt parvārda balki insān bhī masnūī

    merā sāmān bhī masnūī merā īmān bhī masnūī

    basne vaalā maidānoñ ke hañgāma-parvar shahroñ

    be-rabt sukūñ se nā-vāqif aur shorīda-sar shahroñ

    maiñ qudarat ke asrār-o-rumūz-e-pinhāñ se āgāh kahāñ

    is andhyār ke athāh samundar mire dil meñ chaah kahāñ

    aur mujh ko dikhātī hai nūr-e-haqīqat ke jalvaoñ raah kahāñ

    ye shaam ye gahrī shaam ye har lahza baḌhtī huī tārīkī

    ye manzar ḳhush-ā.ind to haiñ maiñ in se magar kyuuñ Dartā huuñ

    kyuuñ in dil-āvezī ko vahshat-nāk tasavvur kartā huuñ

    kyuuñ mujh ko mayassar sañg o shajar bhī sukūn-e-qalb nahīñ

    kyuuñ merī duniyā is duniyā se ke basī hai duur kahīñ

    kyuuñ maiñ ne Daalā hai apne ko aap halākat meñ

    kyuuñ ho nahīñ jaatā maiñ ḳhud paivasta jahān-e-qudarat meñ

    kyuuñ le nahīñ letī mujh ko apnī āġhosh vus.at meñ

    ye shaam ye gahrī tārīkī ye har lahza baḌhtī huī tārīkī

    KHamosh hua bheDon ka galla chalte chalte mimya kar

    ja pahuncha shayad baDe mein busi raste mein phaila kar

    chup-chap khaDa hai dur udhar wo jangal kali chilon ka

    sarsabz pahaDon ko pur-haul banane wali chilon ka

    aawaz nahin aati ab jhil ki jaanib se murghabi ki

    sunsan faza be-jaan hawa mein larzan ruh KHamoshi ki

    yun lai dosh pe lash si kya rangin din ki barbaadi ki

    ye sham ye gahri sham ye har lahza baDhti hui tariki!

    qudarat ke sukut-e-mujassam ki is haibat-za aaraish se

    wadi ke zarre zarre ki ham-ahangi ki numaish se

    har naqsh-e-shajar har fil-numa patthar duniya hai tilismon ki

    had hi nahin aati koi nazar us turfa-fusun ki qismon ki

    har shai par KHwab sa tari hai aur main hun sarf-e-be-KHwabi

    lene hi nahin deti dam mujh ko meri fitrat-e-simabi

    ai kash kabhi kam kar sakti mere bhi dil ki betabi

    ye sham ye gahri sham ye har lahza baDhti hui tariki

    main masnuat ka parwarda balki insan bhi masnui

    mera saman bhi masnui mera iman bhi masnui

    basne wala maidanon ke hangama-parwar shahron ka

    be-rabt sukun se na-waqif aur shorida-sar shahron ka

    main qudarat ke asrar-o-rumuz-e-pinhan se aagah kahan

    is andhyar ke athah samundar ki mere dil mein chah kahan

    aur mujh ko dikhati hai nur-e-haqiqat ke jalwaon ki rah kahan

    ye sham ye gahri sham ye har lahza baDhti hui tariki

    ye manzar KHush-aind to hain main in se magar kyun Darta hun

    kyun in ki dil-awezi ko wahshat-nak tasawwur karta hun

    kyun mujh ko mayassar sang o shajar ka sa bhi sukun-e-qalb nahin

    kyun meri duniya is duniya se ja ke basi hai dur kahin

    kyun main ne Dala hai apne hi ji ko aap halakat mein

    kyun ho hi nahin jata main KHud paiwasta jahan-e-qudarat mein

    kyun le hi nahin leti mujh ko apni aaghosh ki wusat mein

    ye sham ye gahri tariki ye har lahza baDhti hui tariki

    Source:

    meri behtareen nazam (Pg. 95)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now