Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

khanDar

MORE BYMukhtar Siddiqui

    na ye fanā hai na ye baqā hai

    miyān būd-o-adam ye kaisā tavīl vaqfa hai

    jo navishta hamārī qismat ban gayā hai

    kanār-e-dariyā kabhī ye bastī thī

    lekin ab nestī-o-hastī ke darmiyān ik maqām-e-barzaḳh hai

    aisā barzaḳh ki jis meñ sadiyoñ se kāḳh-o-kū bām-o-dar musalsal

    shikastagī ḳhastagī ḳharābī meñ ḳhīra-sar haiñ

    hudūd-e-hastī se ham nikal kar khañDar bane the

    magar khañDar ban ke miT bhī jaate

    ki ye ġham-e-zindagī ke rasiyā

    hamārī hastī ko apnī yādoñ se mahv kar dete bhuul jaate

    na ye ki ham ko tamāsha-gāh-e-jahāñ banāte

    hamāre ibrat-kadoñ ko mahfūz kar ke rakhte

    na ye ki ābādiyoñ ḳhātir

    hamārī barbādiyoñ ko tārīḳhī yādgāreñ banā.e rakhte

    vo yādgāreñ

    jahāñ pe ye log zindagī ke ijāra-dār aa sakeñ to aa.eñ

    dinoñ ko rāhoñ ḳhaak uḌā.īñ

    vo bārgāheñ jo arsh-pāya thiiñ adab-o-ādāb-e-ḳhusravī meñ

    vahāñ ye darāz khisakte jaa.eñ

    jahāñ bhī chāhe apnā naam aur sher likkheñ

    machā.eñ ġhauġhā raqīq be-ma.anī giit gaa.eñ

    magar na auqāt-e-panj-gāna meñ

    ek bhī vaqt suunī masjid meñ jhāñk paa.eñ

    kisī turbat pe fātiha ke liye na ye apne haath uThā.eñ

    dinoñ ko yūñhī fasurda rāhoñ ḳhaak uḌā.īñ

    diye jale par gharoñ ko jaa.eñ

    hamārī vīrāniyoñ ko vīrān-tar banā kar chale jaa.eñ

    yahāñ pe chhā jaa.e andhī añdhiyāriyoñ phir vo sukūt-e-jāmid

    ki yaum-o-sipar jis ke ham-rāz-o-ham-nafas haiñ

    na din vahshat meñ kuchh kamī thī

    ki shab dahshat meñ kuchh kasar ho

    hamāre din-rāt ek se haiñ

    hamāre din-rāt usī vajūd-o-adam ke ik vaqfa-e-musalsal meñ

    hastī-o-nīstī ke barzaḳh meñ pā-ba-gul haiñ

    hamāre din-rāt isī darā-e-zamān vaqfe se muttasil haiñ

    magar hameñ kab milegī is daam se rihā.ī

    hameñ milegā adam mādūm-o-be-nishāñ god sukūn-e-abad ḳhudāyā

    hameñ azal aur abad ke chakkar se kab atā hogī rustagārī

    ḳhudā-e-qayyūm-o-hayye-o-qā.em

    janāb baarī

    na ye fana hai na ye baqa hai

    miyan bud-o-adam ye kaisa tawil waqfa hai

    jo nawishta hamari qismat ka ban gaya hai

    kanar-e-dariya kabhi ye basti thi

    lekin ab nesti-o-hasti ke darmiyan ek maqam-e-barzaKH hai

    aisa barzaKH ki jis mein sadiyon se kaKH-o-ku baam-o-dar musalsal

    shikastagi KHastagi KHarabi mein KHira-sar hain

    hudud-e-hasti se hum nikal kar khanDar bane the

    magar khanDar ban ke miT bhi jate

    ki ye gham-e-zindagi ke rasiya

    hamari hasti ko apni yaadon se mahw kar dete bhul jate

    na ye ki hum ko tamasha-gah-e-jahan banate

    hamare ibrat-kadon ko mahfuz kar ke rakhte

    na ye ki aabaadiyon ki KHatir

    hamari barbaadiyon ko tariKHi yaadgaren banae rakhte

    wo yaadgaren

    jahan pe ye log zindagi ke ijara-dar aa saken to aaen

    dinon ko rahon ki KHak uDain

    wo bargahen jo arsh-paya thin adab-o-adab-e-KHusrawi mein

    wahan ye daraaz khisakte jaen

    jahan bhi ji chahe apna nam aur sher likkhen

    machaen ghaugha raqiq be-mani git gaen

    magar na auqat-e-panj-gana mein

    ek bhi waqt suni masjid mein jhank paen

    kisi ki turbat pe fatiha ke liye na ye apne hath uThaen

    dinon ko yunhi fasurda rahon ki KHak uDain

    diye jale par gharon ko jaen

    hamari viraniyon ko viran-tar bana kar chale hi jaen

    yahan pe chha jae andhi andhiyariyon ka phir wo sukut-e-jamid

    ki yaum-o-sipar hi jis ke ham-raaz-o-ham-nafas hain

    na din ki wahshat mein kuchh kami thi

    ki shab ki dahshat mein kuchh kasar ho

    hamare din-raat ek se hain

    hamare din-raat usi wajud-o-adam ke ek waqfa-e-musalsal mein

    hasti-o-nisti ke barzaKH mein pa-ba-gul hain

    hamare din-raat isi dara-e-zaman waqfe se muttasil hain

    magar hamein kab milegi is dam se rihai

    hamein milega adam ki madum-o-be-nishan god ka sukun-e-abad KHudaya

    hamein azal aur abad ke chakkar se kab ata hogi rustagari

    KHuda-e-qayyum-o-hayye-o-qaem

    janab bari

    Source:

    Muntakhab Shahkar Nazmon Ka Album) (Pg. 94)

    • Author: Munavvar Jameel
      • Edition: 2000
      • Publisher: Haji Haneef Printer Lahore
      • Year of Publication: 2000
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now