Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

khanDar

Shamim Karhani

khanDar

Shamim Karhani

MORE BYShamim Karhani

    isī udaas khañDar ke udaas Tiile par

    jahāñ paḌe haiñ nukīle se surma.ī kañkar

    jahāñ ḳhaak pe shabnam ke haar bikhre haiñ

    shafaq narm kiran jis pe jhilmilātī hai

    shikasta īñToñ pe makḌī ke jaal haiñ jis

    yahīñ pe dil ko na.e dard se do-chār kiyā

    kisī ke paañv aahaT intizār kiyā

    isī udaas khañDar ke udaas Tiile par

    ye nahr jis meñ kabhī lahr bhī uThī hogī

    jo aaj dīda-e-be-āb-o-nūr hai goyā

    jise hubāb ke rañgīn qumqume na mile

    bajā.e mauj jahāñ saañp raqs karte the

    yahīñ nigāh-e-tamannā ko ashk-bār kiyā

    kisī ke paañv aahaT intizār kiyā

    isī udaas khañDar ke udaas Tiile par

    muhīb-e-ġhār ke kone pe ye jhukā daraḳht

    fazā meñ laTkī huī khokhlī jaḌeñ jis

    ye Tahniyāñ jo havāoñ meñ thartharātī haiñ

    batā rahī haiñ ki maazī yādgār haiñ ham

    unhīñ chhāñv meñ shām-e-junūñ se pyaar kiyā

    kisī ke paañv aahaT intizār kiyā

    isī udaas khañDar ke udaas Tiile par

    isi udas khanDar ke udas Tile par

    jahan paDe hain nukile se surmai kankar

    jahan ki KHak pe shabnam ke haar bikhre hain

    shafaq ki narm kiran jis pe jhilmilati hai

    shikasta inTon pe makDi ke jal hain jis ja

    yahin pe dil ko nae dard se do-chaar kiya

    kisi ke panw ki aahaT ka intizar kiya

    isi udas khanDar ke udas Tile par

    ye nahr jis mein kabhi lahr bhi uThi hogi

    jo aaj dida-e-be-ab-o-nur hai goya

    jise hubab ke rangin qumqume na mile

    bajae mauj jahan sanp raqs karte the

    yahin nigah-e-tamanna ko ashk-bar kiya

    kisi ke panw ki aahaT ka intizar kiya

    isi udas khanDar ke udas Tile par

    muhib-e-ghaar ke kone pe ye jhuka sa daraKHt

    faza mein laTki hui khokhli jaDen jis ki

    ye Tahniyan jo hawaon mein thartharaati hain

    bata rahi hain ki mazi ki yaadgar hain hum

    unhin ki chhanw mein sham-e-junun se pyar kiya

    kisi ke panw ki aahaT ka intizar kiya

    isi udas khanDar ke udas Tile par

    Source:

    aazaadii ke baad delhi men urdu nazm (Pg. 183)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now