Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

KHat

Ambar Abid

KHat

Ambar Abid

MORE BYAmbar Abid

    yūñhī

    kuchh talāsh karte hue achānak

    ik purānā aur bosīda ḳhat milā hai

    guzishta ka.ī sāloñ tavīl rāsta yuuñ pal bhar meñ tai ho gayā hai

    yādoñ ke jharokoñ se

    lagā hai jhāñkne

    shaam vahī hasīn manzar

    us purze ne merī uñglī thaam

    aur le aaya hai mujhe

    un derīna rāstoñ tak maazī ke gum-shuda fāsloñ tak

    usī sāhil par

    jis zikr is ḳhat meñ hai

    yādoñ ke us khet tak

    samundar ThanDī ret tak

    kachche kachche vo gharauñde

    jo vaqt ne miTā diye hoñge

    yaad aaya hai mujh ko vo guzrā zamāna

    vo aarzī koī Thikāna

    lekin ye kyā

    samundar vo namkīn paanī

    jis ne kabhī mere pairoñ ko bhigo diyā thā aaj vahī namak merī āñkhoñ meñ utartā rahā hai

    aur ye ma.asūm purza mere hāthoñ meñ thartharā rahā hai

    yunhi

    kuchh talash karte hue achanak

    ek purana aur bosida KHat mila hai

    guzishta kai salon ka tawil rasta yun pal bhar mein tai ho gaya hai

    yaadon ke jharokon se

    laga hai jhankne

    sham ka wahi hasin manzar

    us purze ne meri ungli tham li

    aur le aaya hai mujhe

    un hi derina raston tak mazi ke gum-shuda faslon tak

    usi sahil par

    jis ka zikr is KHat mein hai

    yaadon ke us khet tak

    samundar ki ThanDi ret tak

    kachche kachche wo gharaunde

    jo waqt ne miTa diye honge

    yaad aaya hai mujh ko wo guzra zamana

    wo aarzi sa koi Thikana

    lekin ye kya

    samundar ka wo namkin pani

    jis ne kabhi mere pairon ko bhigo diya tha aaj wahi namak meri aankhon mein utarta ja raha hai

    aur ye masum purza mere hathon mein tharthara raha hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now