khilaune wala
dekho pherī vaalā aayā
dilkash khel khilaune laayā
le lo bachcho khel khilaune
daam haiñ in ke aune paune
jangal kā ik sāthī le lo
suuñD hilātā hāthī le lo
bhālū bhī hai kaalā kaalā
nannhī sī hai sher kī ḳhāla
uuñT hiran aur ghoḌā laayā
gaiñDā farba moTā laayā
totā mainā mor kabūtar
band bajāne vaalā bandar
panchhī bhī hai ujlā ujlā
naam hai bachcho jis kā bagulā
pariyoñ kī shahzādī bhī hai
shahzāda faulādī bhī hai
motī vaalā haar ḳharīdo
cham-cham kartī car ḳharīdo
chābī vaalī rail ye dekho
phūloñ vaalī bel ye dekho
jo jī chāho le lo bachcho
maze maze se khelo bachcho
dekho pheri wala aaya
dilkash khel khilaune laya
le lo bachcho khel khilaune
dam hain in ke aune paune
jangal ka ek sathi le lo
sunD hilata hathi le lo
bhaalu bhi hai kala kala
nannhi si hai sher ki KHala
unT hiran aur ghoDa laya
gainDa farba moTa laya
tota maina mor kabutar
band bajaane wala bandar
panchhi bhi hai ujla ujla
nam hai bachcho jis ka bagula
pariyon ki shahzadi bhi hai
shahzada fauladi bhi hai
moti wala haar KHarido
cham-cham karti car KHarido
chabi wali rail ye dekho
phulon wali bel ye dekho
jo ji chaho le lo bachcho
maze maze se khelo bachcho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.