Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

KHud-shanasi

Yusuf Taqi

KHud-shanasi

Yusuf Taqi

MORE BYYusuf Taqi

    maiñ añdhere phailī huī khā.īyoñ meñ jo gum ho gayā huuñ

    to is vajah ye nahīñ hai

    ki mujh meñ ziyā-bār kirnoñ fuqdān hai

    raushnī tamāzat ko sahne hāmil nahīñ huuñ

    haqīqat to ye hai

    jise raushnī tum mamba.a samajh kar

    azal se tavāf-e-mukarrar meñ masrūf ho

    vo tumhāre andar simTī huī tārīkiyoñ ke sivā kuchh nahīñ hai

    aur maiñ....!

    maiñ mujassam munavvar-nigāhī ḳhvāhish liye

    safar meñ rahā huuñ

    safar meñ rahūñgā abad tak!!

    main andhere ki phaili hui khaiyon mein jo gum ho gaya hun

    to is ki wajah ye nahin hai

    ki mujh mein ziya-bar kirnon ka fuqdan hai

    ya raushni ki tamazat ko sahne ka hamil nahin hun

    haqiqat to ye hai

    jise raushni ka tum mamba samajh kar

    azal se tawaf-e-mukarrar mein masruf ho

    wo tumhaare hi andar ki simTi hui tarikiyon ke siwa kuchh nahin hai

    aur main!

    main mujassam munawwar-nigahi ki KHwahish liye

    safar mein raha hun

    safar mein rahunga abad tak!!

    Source:

    Khushk Tahni Zard Pattay (Pg. 85)

    • Author: Yousuf Taqi
      • Edition: 2003
      • Publisher: Yousuf Taqi
      • Year of Publication: 2003
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now