Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

KHushbu ka safar

Hasan Shahnawaz Zaidi

KHushbu ka safar

Hasan Shahnawaz Zaidi

MORE BYHasan Shahnawaz Zaidi

    merī maañ maut āġhosh meñ bhī ḳhūbsūrat thī

    mujassam shukr-o-īsār-o-vafā

    jo zindagī-bhar ḳhud jhulas kar ham ko ThanDī chhāñv thī

    ab us chāñd raushan jabīñ par

    dard gahrī shikan aa ga.ī thī

    phir bhī us zard chehra pur-sukūñ thā

    vo jab tak hosh meñ thā

    us ke hoñToñ par duā.eñ

    us āñkhoñ meñ mohabbat thī

    mirī maañ maut āġhosh meñ bhī ḳhūbsūrat thī

    use ik dūsrī duniyā meñ paidā.ish jaldī thī

    hameñ ye zid ki ham ko chhoḌ kar jaane nahīñ paa.e

    usī rassa-kashī meñ

    us dil aur jism

    us ke hoñT us ruuh zaḳhmī ho chuke the

    chhil chuke the

    phir bhī us ne apnā saarā bojh

    us palḌe meñ Daalā thā

    jahāñ ham sab ikaTThe mil ke us ko apnī duniyā

    apnī is be-faiz duniyā meñ ghasīTe rahe the

    hameñ ma.alūm thā

    ye jang haarī chukī hai

    sab masīhāoñ ke chehroñ par nadāmat hai

    ajal ne āfiyat ke saare aDDe phūñk Daale haiñ

    magar maidān se paspā.ī rasta nahiñ thā

    ham us haath thāme

    un laraztī uñgliyoñ se sabr aur ummīd paiġhām sunte the

    magar hāthoñ se vo aise nikaltī rahī thī

    ki jaise bādaloñ oT meñ

    Dhalte ho.e mahtāb paikar saraktā ho

    koī dast-o-pā saare gañvā kar

    āḳhirash mashkīza-e-jāñ apne dāñtoñ se uThā.e

    tiir khātā rahā ho

    aur use ma.alūm ho ḳheme talak aanā nahīñ mumkin

    sināñ dil meñ tarāzū ho to sab nā-chār girte haiñ

    savāroñ to kyā mazkūr hai

    rahvār girte haiñ

    so vo dast-e-qazā thāme hue ruḳhsat huī ham se

    ab ham kab batā paa.e

    hameñ us abhī kitnī zarūrat thī

    mirī maañ baaqī saarī maaoñ jaisī ḳhūb-sūrat thī

    meri man maut ki aaghosh mein bhi KHubsurat thi

    mujassam shukr-o-isar-o-wafa

    jo zindagi-bhar KHud jhulas kar hum ko ThanDi chhanw di thi

    ab us ki chand si raushan jabin par

    dard ki gahri shikan si aa gai thi

    phir bhi us ka zard chehra pur-sukun tha

    wo jab tak hosh mein tha

    us ke honTon par duaen

    us ki aankhon mein mohabbat thi

    meri man maut ki aaghosh mein bhi KHubsurat thi

    use ek dusri duniya mein paidaish ki jaldi thi

    hamein ye zid ki hum ko chhoD kar jaane nahin pae

    usi rassa-kashi mein

    us ka dil aur jism

    us ke honT us ki ruh zaKHmi ho chuke the

    chhil chuke the

    phir bhi us ne apna sara bojh

    us palDe mein Dala tha

    jahan hum sab ikaTThe mil ke us ko apni duniya

    apni is be-faiz duniya mein ghasiTe ja rahe the

    hamein malum tha

    ye jang haari ja chuki hai

    sab masihaon ke chehron par nadamat hai

    ajal ne aafiyat ke sare aDDe phunk Dale hain

    magar maidan se paspai ka rasta nahin tha

    hum us ka hath thame

    un larazti ungliyon se sabr aur ummid ka paigham sunte the

    magar hathon se wo aise nikalti ja rahi thi

    ki jaise baadalon ki oT mein

    Dhalte hoe mahtab ka paikar sarakta ho

    ya koi dast-o-pa sare ganwa kar

    aaKHirash mashkiza-e-jaan apne danton se uThae

    tir khata ja raha ho

    aur use malum ho KHeme talak aana nahin mumkin

    sinan dil mein taraazu ho to sab na-chaar girte hain

    sawaron ka to kya mazkur hai

    rahwar girte hain

    so wo dast-e-qaza thame hue ruKHsat hui hum se

    ab hum kab bata pae

    hamein us ki abhi kitni zarurat thi

    meri man baqi sari maon jaisi KHub-surat thi

    Source:

    Aaina Daar (Pg. e-41 p-43)

    • Author: Hasan Shahnawaz Zaidi
      • Edition: 2001
      • Publisher: Asateer, Lahore
      • Year of Publication: 2001
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now