Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

KHushbu

MORE BYMahmooda Ghaziya

    ḳhushbū ke din aur rangoñ kuchh rāteñ rah jaatī haiñ

    bhīge bhīge se lamhoñ barsāteñ rah jaatī haiñ

    tham tham jaatī hai sargoshī vaqt guzartā rahtā hai

    kaan baalī meñ lahrātī kuchh bāteñ rah jaatī haiñ

    raat guzar jaatī hai lekin ḳhvāb ruke rahte haiñ vahīñ

    jāgtī āñkhoñ meñ aur ḳhvāhish sauġhāteñ rah jaatī haiñ

    'ġhāziya' lamha ek milan aur ḳhazāne yādoñ ke

    iid guzar jaatī hai pal meñ rāteñ rah jātīñ haiñ

    KHushbu ke din aur rangon ki kuchh raaten rah jati hain

    bhige bhige se lamhon ki barsaten rah jati hain

    tham tham jati hai sargoshi waqt guzarta rahta hai

    kan ki baali mein lahraati kuchh baaten rah jati hain

    raat guzar jati hai lekin KHwab ruke rahte hain wahin

    jagti aankhon mein aur KHwahish ki saughaten rah jati hain

    'ghaziya' lamha ek milan ka aur KHazane yaadon ke

    id guzar jati hai pal mein raaten rah jatin hain

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now