Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

KHushk-sali

Josh Malihabadi

KHushk-sali

Josh Malihabadi

MORE BYJosh Malihabadi

    Interesting Fact

    The poem was written on a severe famine occurred in 1918.

    ai dil-e-afsurda vo asrār-e-bātin kyā hue

    soz rāteñ kahāñ haiñ saaz ke din kyā hue

    āñsuoñ vo jhaḌī vo ġham sāmāñ kyā huā

    terā sāvan mahīna chashm-e-giryāñ kyā huā

    kyā huī bālā-e-sar vo lutf-e-yazdāñ ghaTā

    āsmān-e-dil pe vo ghanghor irfāñ ghaTā

    ab vo nāloñ garaj hai ab na vo shor-e-fuġhāñ

    ab na uThtā hai kaleja se mohabbat dhuāñ

    apne af.āl-e-siyah par ab pashemānī nahīñ

    ab pasīne ke sitāre zeb-e-peshānī nahīñ

    dard muddat se ab dil meñ chamak hotī nahīñ

    vo tapak chhāloñ kauñde lapak hotī nahīñ

    zikr-e-maulā se laboñ par ab vo narmī nahīñ

    bhaap siine se uThe kyā dil meñ garmī nahīñ

    ab sharāre soz-e-ġham ke dil meñ rahte nahīñ

    ashk ab pichhle pahar āñkhoñ se bahte nahīñ

    ma.arifat dil meñ na ab vo ruuh meñ ehsās hai

    log kahte haiñ ki hai lekin hameñ to yaas hai

    ab na vo āñkhoñ meñ ashk-e-ḳhūñ na vo dil meñ gudāz

    ab na vo shām-e-tamannā hai na vo sub.h-e-niyāz

    ḳhushk haiñ āñkheñ jabīneñ tañg siine sard haiñ

    ab na vo dukhte hue dil haiñ na chehre zard haiñ

    aah aur dil umañD aayā ye hotā nahīñ

    Duub kar zauq-e-fanā meñ koī rotā nahīñ

    phuul dāġhoñ se khile the jis dil-e-sarshār meñ

    ḳhaak ab muddat se uḌtī hai usī gulzār meñ

    āñsuoñ se nam jo rahtā thā vo dāmāñ jal gayā

    lahlahātā thā jo siine meñ gulistāñ jal gayā

    ruuh meñ bālīdgī quvvateñ ma.adūm haiñ

    donoñ āñkheñ āñsuoñ ke faiz se mahrūm haiñ

    pech-o-ḳham se bahne vaalā dil dariyā ḳhushk hai

    vo bharī barsāt ya.anī chashm-e-bīnā ḳhushk hai

    ḳhuun hai dil meñ magar pahlī tuġhyānī nahīñ

    abr hai bād-e-muḳhālif se magar paanī nahīñ

    jab ye aalam hai to bārish shikāyat kis liye

    be-mahal ye hasrat-e-bārān-e-rahmat kis liye

    ik mujassam ḳhushk-sālī ḳhud hamārī zaat hai

    zid hamārī hastiyoñ abr hai barsāt hai

    rahmatoñ se josh meñ aane ḳhvāhish kyā kareñ

    ḳhud sarāpā qaht haiñ ummīd-e-bārish kyā kareñ

    ai dil-e-afsurda wo asrar-e-baatin kya hue

    soz ki raaten kahan hain saz ke din kya hue

    aansuon ki wo jhaDi wo gham ka saman kya hua

    tera sawan ka mahina chashm-e-giryan kya hua

    kya hui baala-e-sar wo lutf-e-yazdan ki ghaTa

    aasman-e-dil pe wo ghanghor irfan ki ghaTa

    ab wo nalon ki garaj hai ab na wo shor-e-fughan

    ab na uThta hai kaleja se mohabbat ka dhuan

    apne afal-e-siyah par ab pashemani nahin

    ab pasine ke sitare zeb-e-peshani nahin

    dard ki muddat se ab dil mein chamak hoti nahin

    wo tapak chhaalon ki kaunde ki lapak hoti nahin

    zikr-e-maula se labon par ab wo narmi hi nahin

    bhap sine se uThe kya dil mein garmi hi nahin

    ab sharare soz-e-gham ke dil mein rahte hi nahin

    ashk ab pichhle pahar aankhon se bahte hi nahin

    marifat dil mein na ab wo ruh mein ehsas hai

    log kahte hain ki hai lekin hamein to yas hai

    ab na wo aankhon mein ashk-e-KHun na wo dil mein gudaz

    ab na wo sham-e-tamanna hai na wo subh-e-niyaz

    KHushk hain aankhen jabinen tang sine sard hain

    ab na wo dukhte hue dil hain na chehre zard hain

    aah ki aur dil umanD aaya ye hota hi nahin

    Dub kar zauq-e-fana mein koi rota hi nahin

    phul daghon se khile the jis dil-e-sarshaar mein

    KHak ab muddat se uDti hai usi gulzar mein

    aansuon se nam jo rahta tha wo daman jal gaya

    lahlahata tha jo sine mein gulistan jal gaya

    ruh mein baalidgi ki quwwaten madum hain

    donon aankhen aansuon ke faiz se mahrum hain

    pech-o-KHam se bahne wala dil ka dariya KHushk hai

    wo bhari barsat yani chashm-e-bina KHushk hai

    KHun hai dil mein magar pahli si tughyani nahin

    abr hai baad-e-muKHalif se magar pani nahin

    jab ye aalam hai to barish ki shikayat kis liye

    be-mahal ye hasrat-e-baran-e-rahmat kis liye

    ek mujassam KHushk-sali KHud hamari zat hai

    zid hamari hastiyon ki abr hai barsat hai

    rahmaton se josh mein aane ki KHwahish kya karen

    KHud sarapa qaht hain ummid-e-barish kya karen

    Source:

    Kulliyat-e-Josh Maleeh aabadi (Pg. 85)

    • Author: Josh Maleeh Aabadi
      • Edition: 2007
      • Publisher: Farid Book Depot (Pvt.)Ltd
      • Year of Publication: 2007
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now