Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

KHun-e-tamanna

MORE BYAfsar Seemabi Ahmad Nagari

    jal chukī shāḳh-e-nasheman tham chukī bād-e-sumūm

    ab havā-e-nau-bahārāñ kausar-afshāñ hai to kyā

    kar chukī ḳhūn-e-tamannā tīrgī-e-shām-e-ġham

    āsmāñ par ab nayā sūraj daraḳhshāñ hai to kyā

    jaam afsurda surāhī sar-nigūñ miinā ḳhamosh

    mai-kade meñ ab hujūm-e-mai-gusrārāñ hai to kyā

    duur ho saktā nahīñ ai dost qarnoñ sukūt

    zindagī ab apne barbat par ġhazal-ḳhvāñ hai to kyā

    gardish-e-daurāñ pe koī fat.h saktā nahīñ

    tere lab par shikva-e-ālām-e-daurāñ hai to kyā

    munkashif hone ko hai rāz-e-sabāt-e-jāvedāñ

    aaj agar shīrāza-e-hastī pareshāñ hai to kyā

    kal ye duniyā vādī-e-raqs-o-navā kahlā.egī

    aaj agar jaulāñ-gah-e-sailāb-o-tūfāñ hai to kyā

    saḌ chuke is ke anāsir haT chukā soz-e-hayāt

    ab tujhe fikr-e-ilāj-e-dard-e-insāñ hai to kyā

    zindagī talḳhiyoñ ne chhīn tāb-e-nazar

    tuur choTī par 'afsar' ab charāġhāñ hai to kyā

    jal chuki shaKH-e-nasheman tham chuki baad-e-sumum

    ab hawa-e-nau-bahaaran kausar-afshan hai to kya

    kar chuki KHun-e-tamanna tirgi-e-sham-e-gham

    aasman par ab naya suraj daraKHshan hai to kya

    jam afsurda surahi sar-nigun mina KHamosh

    mai-kade mein ab hujum-e-mai-gusraran hai to kya

    dur ho sakta nahin ai dost qarnon ka sukut

    zindagi ab apne barbat par ghazal-KHwan hai to kya

    gardish-e-dauran pe koi fath pa sakta nahin

    tere lab par shikwa-e-alam-e-dauran hai to kya

    munkashif hone ko hai raaz-e-sabaat-e-jawedan

    aaj agar shiraaza-e-hasti pareshan hai to kya

    kal ye duniya wadi-e-raqs-o-nawa kahlaegi

    aaj agar jaulan-gah-e-sailab-o-tufan hai to kya

    saD chuke is ke anasir haT chuka soz-e-hayat

    ab tujhe fikr-e-ilaj-e-dard-e-insan hai to kya

    zindagi ki talKHiyon ne chhin li tab-e-nazar

    tur ki choTi par 'afsar' ab charaghan hai to kya

    Source:

    Khawaristan (Pg. 42)

    • Author: Afsar Seemabi Ahmad Nagari
      • Publisher: Afsar Seemabi Ahmad Nagari
      • Year of Publication: 1951
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now