Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

KHuni qila

Wamiq Jaunpuri

KHuni qila

Wamiq Jaunpuri

MORE BYWamiq Jaunpuri

    bahut saḳht bahut tavīl hai ye ghaḌī

    is ahd-e-qahqarī har qadam hai ek sadī

    ye ahd jis pe ka.ī nasloñ hai gard paḌī

    ye pīr-zāl ye qila kanār āb-e-ravāñ

    bhaḌakte sholoñ ke mānind jis har gumbad

    ye kañgare haiñ ki haiñ bhaTTiyoñ ke añgāre

    jalā ke rakh diye jin tapish ne lākhoñ makāñ

    ye hai alāmat-e-fistā.iyat girāo se

    hamāre bachchoñ ke schōl se haTāo ise

    ye ḳhūnī-qila phāTak hai dahān-e-jahīm

    fasīl-e-sañg ibārat hai ḳhuuñ ke dhabboñ se

    diye lahūñ ke farozāñ kiye hue har taaq

    hai jin ke sāmne ḳhīra talā o gauhar o siim

    sadā-e-raqs nikaltī huī jharoñkoñ se

    kisī hasīna-e-fir.aun mahal jaise

    sutūn marmarīñ añgḌā.ī le ke niiñd meñ chuur

    libās-e-barahnagī meñ nihāñ qalo-patra

    miyān-e-nīl koī laash dekh kar hañs de

    is ahd-e-qahqarī har qadam hai ek sadī

    bahut saḳht bahut tavīl hai ye ghaḌī

    naddī ye hai ki zamīñ par hai ek laash paḌī

    bahut hi saKHt bahut hi tawil hai ye ghaDi

    is ahd-e-qahqari ka har qadam hai ek sadi

    ye ahd jis pe kai naslon ki hai gard paDi

    ye pir-zal ye qila kanar aab-e-rawan

    bhaDakte sholon ke manind jis ka har gumbad

    ye kangare hain ki hain bhaTTiyon ke angare

    jala ke rakh diye jin ki tapish ne lakhon makan

    ye hai alamat-e-fistaiyat girao se

    hamare bachchon ke school se haTao ise

    ye KHuni-qila ka phaTak hai ya dahan-e-jahim

    fasil-e-sang ibarat hai KHun ke dhabbon se

    diye lahun ke farozan kiye hue har taq

    hai jin ke samne KHira tala o gauhar o sim

    sada-e-raqs nikalti hui jharonkon se

    kisi hasina-e-firaun ka mahal jaise

    sutun marmarin angDai le ke nind mein chur

    libas-e-barahnagi mein nihan qalo-patra

    miyan-e-nil koi lash dekh kar hans de

    is ahd-e-qahqari ka har qadam hai ek sadi

    bahut hi saKHt bahut hi tawil hai ye ghaDi

    naddi ye hai ki zamin par hai ek lash paDi

    RECITATIONS

    Nomaan Shauque

    Nomaan Shauque,

    Nomaan Shauque

    KHuni qila Nomaan Shauque

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now