Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

KHwab

MORE BYSadiya Safdar Saadi

    hisār-e-rañj meñ rahte hue tujhe chāhūñ

    ġhubār-e-rāh-e-yaqīñ meñ sadā tujhe dekhūñ

    jabīn-e-vaqt pe har-ān bas tujhe likkhūñ

    charāġh-e-hijr banūñ rāt-bhar tirī āñkhoñ

    ke jañgaloñ meñ karūñ raushnī uḌā.ūñ tirī

    sunahrī niiñd añdheroñ bhare makānoñ meñ

    tire vajūd se apnā vajūd bāñdh ke maiñ

    samundaroñ meñ karūñ raqs jal-parī tarah

    sunā.ūñ shā.irī tujh par likhī ġhazāloñ ko

    banā.ūñ lams tirā itr meñ karūñ nīlām

    tamām-shahr ke aage use bane jannat

    har ik darīcha khule jo qabā tirī mahak

    uThe jahāñ se bhī guzrūñ faqat tirī ḳhushbū

    kare tavāf mirā kū-ba-kū faqat to ho

    ai shaḳhs tere jamāl-e-javān saugand

    dhaḌak rahā hai hamesha mirī ragoñ meñ

    tirā sarāpā adab kitāb jaisā hai

    tujhe paḌhūñ tujhe likkhūñ tujhe sunūñ har-vaqt

    kisī sahīfe tafsīr tarjuma tirā jism

    kisī qadīm qalam se likhā huā tirā ism

    kisī charāġh se miltā huā tirā chehra

    kisī dahaktī huī shaam tirī āñkheñ

    kisī bikhartī huī dāstān zulfeñ

    kisī gulāb se ārāsta tape hue gaal

    larazte hoñT shikasta-suḳhan Darā lahja

    chamakte haath sulagtī huī jabīñ pe jamī

    ġhamoñ gard mujhe ki rahī hai chuum ke maiñ

    niDhāl pair tire aable ginūñ saare

    thakān saarī utārūñ tirī dabā.ūñ sar

    pilā.ūñ sharbat-e-sandal sañvār ke tire baal

    karūñ maiñ pyaar se kañghī likhūñ safar pe tire

    maiñ aisī nazm koī jo tujhe rakhe sarsabz

    tirī bujhī huī āñkheñ bharūñ maiñ ḳhvāboñ se

    tire dukhoñ sukhoñ se sadā ilaaj karūñ

    sunā.ūñ nazm tumheñ maiñ gale lagā ke na.ī

    tumhārī shirt pe meñ āñsuoñ se kaaj karūñ

    hisar-e-ranj mein rahte hue tujhe chahun

    ghubar-e-rah-e-yaqin mein sada tujhe dekhun

    jabin-e-waqt pe har-an bas tujhe likkhun

    charagh-e-hijr banun raat-bhar teri aankhon

    ke jangalon mein karun raushni uDaun teri

    sunahri nind andheron bhare makanon mein

    tere wajud se apna wajud bandh ke main

    samundaron mein karun raqs jal-pari ki tarah

    sunaun shairi tujh par likhi ghazalon ko

    banaun lams tera itr mein karun nilam

    tamam-shahr ke aage use bane jannat

    har ek daricha khule jo qaba teri hi mahak

    uThe jahan se bhi guzrun faqat teri KHushbu

    kare tawaf mera ku-ba-ku faqat to ho

    ai shaKHs tere jamal-e-jawan ki saugand

    dhaDak raha hai hamesha meri ragon mein tu

    tera sarapa adab ki kitab jaisa hai

    tujhe paDhun tujhe likkhun tujhe sunun har-waqt

    kisi sahife ki tafsir tarjuma tera jism

    kisi qadim qalam se likha hua tera ism

    kisi charagh se milta hua tera chehra

    kisi dahakti hui sham si teri aankhen

    kisi bikharti hui dastan si zulfen

    kisi gulab se aarasta tape hue gal

    larazte honT shikasta-suKHan Dara lahja

    chamakte hath sulagti hui jabin pe jami

    ghamon ki gard mujhe ki rahi hai chum ke main

    niDhaal pair tere aable ginun sare

    thakan sari utarun teri dabaun sar

    pilaun sharbat-e-sandal sanwar ke tere baal

    karun main pyar se kanghi likhun safar pe tere

    main aisi nazm koi jo tujhe rakhe sarsabz

    teri bujhi hui aankhen bharun main KHwabon se

    tere dukhon ka sukhon se sada ilaj karun

    sunaun nazm tumhein main gale laga ke nai

    tumhaari shirt pe mein aansuon se kaj karun

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now