Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

KHwab-kadon se wapsi

Qasim Yaqub

KHwab-kadon se wapsi

Qasim Yaqub

MORE BYQasim Yaqub

    ai mere badan se lipTī hijrat sarshārī!

    ḳhvāhish be-samt jihat ke kahne meñ mat aa

    mere bāzuoñ meñ quvvat to hai

    jo sūkhe samundar meñ tairtī kashtī ke patvār meñ utrī hai

    lekin merī Tāñgoñ meñ

    harkat ke codes musalsal marte jaate haiñ

    guuñj ek bahāo meñ merī jānib baḌhtī hai

    aur ḳhāmoshī...

    chehre ke ḳhāl-o-ḳhat se noch ke le jaatī hai

    maiñ rafta rafta

    ḳhvāhish ke ambār meñ girtā jaatā huuñ

    niiñd tuġhyānī meñ bahtā jaatā huuñ

    phir sehan ke nal se bahte paanī āvāz

    mire raste par

    sargoshī pheñk ke jaatī hai

    mujh ko ḳhvāb-kadoñ hairat se vāpas le aatī hai

    ai mere badan se lipTi hijrat ki sarshaari!

    KHwahish ki be-samt jihat ke kahne mein mat aa

    mere bazuon mein quwwat to hai

    jo sukhe samundar mein tairti kashti ke patwar mein utri hai

    lekin meri Tangon mein

    harkat ke codes musalsal marte jate hain

    gunj ek bahao mein meri jaanib baDhti hai

    aur KHamoshi

    chehre ke KHal-o-KHat se noch ke le jati hai

    main rafta rafta

    KHwahish ke ambar mein girta jata hun

    nind ki tughyani mein bahta jata hun

    phir sehan ke nal se bahte pani ki aawaz

    mere raste par

    sargoshi phenk ke jati hai

    mujh ko KHwab-kadon ki hairat se wapas le aati hai

    RECITATIONS

    Nomaan Shauque

    Nomaan Shauque,

    Nomaan Shauque

    KHwab-kadon se wapsi Nomaan Shauque

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now