aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

KHwab ke sannaTe

Sahba lakhnavi

KHwab ke sannaTe

Sahba lakhnavi

MORE BYSahba lakhnavi

    phir vahī umr-e-gurezāñ malāl

    phir vahī kashmakash-e-māzī-o-hāl

    anginat ḳhvāb

    laḌakpan ke javānī ke sulagte hue jazboñ ke mah-o-sāl ke ḳhvāb

    ek ik lamha

    bikhartā simaTtā

    ḳhad-o-ḳhāl ke sau rang liye

    qahqahe majlis-e-ahbāb shagufta chehre

    ek āsūda tamannā dayār

    jaise nau-ḳhez shagūfoñ bahār

    aur ab ḳhvāb ke sannāTe meñ

    umr nisf-sadī pūchh rahī hai mujh se

    tum ne kyā khoyā hai kyā paayā hai

    vaqt dhuup meñ tapte hue sahrā ḳhayāl

    ek martī huī tahzīb nādīda jamāl

    ġham-e-insāñ ġham-e-daurāñ ġham-e-jānāñ savāl

    yaad umr-e-gurezāñ malāl

    phir wahi umr-e-gurezan ka malal

    phir wahi kashmakash-e-mazi-o-haal

    anginat KHwab

    laDakpan ke jawani ke sulagte hue jazbon ke mah-o-sal ke KHwab

    ek ek lamha

    bikharta sa simaTta sa

    KHad-o-KHal ke sau rang liye

    qahqahe majlis-e-ahbab shagufta chehre

    ek aasuda tamanna ka dayar

    jaise nau-KHez shagufon ki bahaar

    aur ab KHwab ke sannaTe mein

    umr ki nisf-sadi puchh rahi hai mujh se

    tum ne kya khoya hai kya paya hai

    waqt ki dhup mein tapte hue sahra ka KHayal

    ek marti hui tahzib ka nadida jamal

    gham-e-insan gham-e-dauran gham-e-jaanan ka sawal

    yaad hi umr-e-gurezan ka malal

    Source:

    Sahba Lakhnavi : Shakhsiyat Aur Adabi Khidmaat (Pg. 292)

      • Publisher: Irtiqa Matbuat, Karachi
      • Year of Publication: 1999
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now