Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

KHwab-tamasha(1)

Kumar Pashi

KHwab-tamasha(1)

Kumar Pashi

MORE BYKumar Pashi

    ye tāñbe ākāsh ujāle se ḳhālī

    aur ye lohe ke shahr dhueñ meñ Duube hue

    ye nīvan sign raushniyoñ meñ ghirī huī tārīk safeñ

    ye shor sharāba aane vaalī lambī raat haibat

    sach pūchho to ab merā dukh tanhā.ī nahīñ

    kuchh aur baat hai jis se dil ghabrāyā hai

    maiñ chāhūñ to

    mujh ko bhī koī be-kār bahāna jiine mil saktā hai

    maiñ chāhūñ to

    is shor sharābe meñ ḳhud ko kho saktā huuñ

    maiñ chāhūñ to

    merā dukh tanhā.ī nahīñ

    kuchh aur baat hai jis se dil ghabrātā hai

    ye tanbe ka aakash ujale se KHali

    aur ye lohe ke shahr dhuen mein Dube hue

    ye niwan sign ki raushniyon mein ghiri hui tarik safen

    ye shor sharaba aane wali lambi raat ki haibat ka

    sach puchho to ab mera dukh tanhai nahin

    kuchh aur hi baat hai jis se dil ghabraya hai

    main chahun to

    mujh ko bhi koi be-kar bahana jine ka mil sakta hai

    main chahun to

    is shor sharabe mein KHud ko kho sakta hun

    main chahun to

    mera dukh tanhai nahin

    kuchh aur hi baat hai jis se dil ghabraata hai

    Source:

    azadi ke bad urdu nazm (Pg. 555)

    • Author: shamim hanfi and mazhar mahdi
      • Edition: 2005
      • Publisher: qaumi council bara-e-farogh urdu
      • Year of Publication: 2005
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now