aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

KHwab tamasha(2)

Kumar Pashi

KHwab tamasha(2)

Kumar Pashi

MORE BYKumar Pashi

    tum batlāo kyā jānte ho

    kyā sochte ho

    aur is be-kār tamāshe meñ kyuuñ zinda ho

    uupar nīche daa.eñ baa.eñ aage pīchhe

    hai ek rañg

    jo kuchh bhī thā

    vo sab kālak meñ Duub gayā

    jo kuchh bhī hai

    vo rafta rafta rañg badaltā jaatā hai

    ye chāñd ye sūraj sayyāre

    ye manzar manzar nazzāre

    ik ḳhvāb hai so.e aadmī

    jo soyā hai

    shāyad tanvīm ke zer-e-asar

    jaane kitne andhe kaale anjān baras

    jo jāgegā to

    ek rañg

    bas ek rañg

    daa.eñ baa.eñ aage pīchhe uupar nīche

    ik kaalā badbū-dār samundar daa.eñ taraf

    ik kaalā badbū-dār samundar baa.eñ taraf

    aage pīchhe

    uupar nīche

    tum batlāo kyā jānte ho

    kyā sochte ho

    aur is be-kār tamāshe meñ

    kyuuñ zinda ho

    tum batlao kya jaante ho

    kya sochte ho

    aur is be-kar tamashe mein kyun zinda ho

    upar niche daen baen aage pichhe

    hai ek rang

    jo kuchh bhi tha

    wo sab kalak mein Dub gaya

    jo kuchh bhi hai

    wo rafta rafta rang badalta jata hai

    ye chand ye suraj sayyare

    ye manzar manzar nazzare

    ek KHwab hai soe aadmi ka

    jo soya hai

    shayad tanwim ke zer-e-asar

    jaane kitne andhe kale anjaan baras

    jo jagega to

    ek rang

    bas ek rang

    daen baen aage pichhe upar niche

    ek kala badbu-dar samundar daen taraf

    ek kala badbu-dar samundar baen taraf

    aage pichhe

    upar niche

    tum batlao kya jaante ho

    kya sochte ho

    aur is be-kar tamashe mein

    kyun zinda ho

    Source:

    azadi ke bad urdu nazm (Pg. 555)

    related content

    Nazm

    tamashai bhi zalim hain

    wo zalim

    Farah Shahid
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now